Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kahiye ki KHuban ne ab hum mein hai kya rakha

Meer Taqi Meer

kya kahiye ki KHuban ne ab hum mein hai kya rakha

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kyā kahiye ki ḳhūbāñ ne ab ham meñ hai kyā rakhā

    in chashm-siyāhoñ ne bahutoñ ko sulā rakhā

    jalva hai usī sab gulshan meñ zamāne ke

    gul phuul ko hai un ne parda banā rakhā

    juuñ barg ḳhizāñ-dīda sab zard hue ham to

    garmī ne hameñ dil āḳhir ko jalā rakhā

    kahiye jo tamīz us ko kuchh achchhe bure ho

    dil jis kaso paayā chaT un ne uḌā rakhā

    thī maslak-e-ulfat mash.hūr ḳhatarnākī

    maiñ dīda-o-dānista kis raah meñ rakhā

    ḳhurshīd-o-qamar pyāre rahte haiñ chhupe koī

    ruḳhsāroñ ko go ne burqā se chhupā rakhā

    chashmak nahīñ taazī sheve ye usī ke haiñ

    jhamkī dikhā de kar aalam ko lagā rakhā

    lagne ke liye dil ke chhiḌkā thā namak maiñ ne

    sau chhātī ke zaḳhmoñ ne kal der maza rakhā

    kushte ko is abrū ke kyā mel ho hastī

    maiñ taaq buland uupar jiine ko uThā rakhā

    qata.ī hai dalīl ai 'mīr' us teġh be-ābī

    rahm un ne mire haq meñ mutlaq na ravā rakhā

    kya kahiye ki KHuban ne ab hum mein hai kya rakha

    in chashm-siyahon ne bahuton ko sula rakha

    jalwa hai usi ka sab gulshan mein zamane ke

    gul phul ko hai un ne parda sa bana rakha

    jun barg KHizan-dida sab zard hue hum to

    garmi ne hamein dil ki aaKHir ko jala rakha

    kahiye jo tamiz us ko kuchh achchhe bure ki ho

    dil jis kaso ka paya chaT un ne uDa rakha

    thi maslak-e-ulfat ki mashhur KHatarnaki

    main dida-o-danista kis rah mein pa rakha

    KHurshid-o-qamar pyare rahte hain chhupe koi

    ruKHsaron ko go tu ne burqa se chhupa rakha

    chashmak hi nahin tazi shewe ye usi ke hain

    jhamki si dikha de kar aalam ko laga rakha

    lagne ke liye dil ke chhiDka tha namak main ne

    sau chhati ke zaKHmon ne kal der maza rakha

    kushte ko is abru ke kya mel ho hasti ki

    main taq buland upar jine ko uTha rakha

    qatai hai dalil ai 'mir' us tegh ki be-abi

    rahm un ne mere haq mein mutlaq na rawa rakha

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0140
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now