Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera dard-e-dil hai rawan-dawan mera zaKHm-e-dil bhi gulab hai

Nirmal Nadeem

mera dard-e-dil hai rawan-dawan mera zaKHm-e-dil bhi gulab hai

Nirmal Nadeem

MORE BYNirmal Nadeem

    mirā dard-e-dil hai ravāñ-davāñ mirā zaḳhm-e-dil bhī gulāb hai

    mirī ḳhushbuoñ hai dāstāñ ye jahān merī kitāb hai

    maiñ qalam ek sipāhī huuñ mirī zehniyat meñ hai shā.irī

    jahāñ fikr hai bulandiyāñ mirā harf harf vo baab hai

    kabhī mere dil meñ dekhnā ki jahāñ tamām simaT ga.e

    kare zikr jis har ik zabāñ mire dard vo shabāb hai

    tujhe saath kaise maiñ le chalūñ maiñ safar pe huuñ kisī tuur ke

    tire saath chaltī haiñ mastiyāñ tirī chaal mauj-e-chanāb hai

    mire bāl-o-par meñ vo hausla hai jo āsmāñ ko sameT le

    jo mujhe banā.egā jāvedāñ mirī chashm-e-tar meñ vo ḳhvāb hai

    mujhe le ke chalnā hai le ke chal par use bhī le le saath meñ

    mujhe kar na pā.egā bayāñ maiñ savāl huuñ vo javāb hai

    maiñ nashe meñ tere chuur huuñ tire paas ho ke bhī duur huuñ

    mire vajūd meñ hai nihāñ tirā ġham merī sharāb hai

    ye nujūm-o-shams-o-qamar sabhī meñ jo raushnī hai mujhī se hai

    mirā qarz-dār hai āsmāñ mire zaḳhmoñ vo taab hai

    maiñ ne sarf kar hai zindagī tirī manziloñ talāsh meñ

    tujhe DhūñDhtā na phirā kahāñ mire ishq sarāb hai

    mera dard-e-dil hai rawan-dawan mera zaKHm-e-dil bhi gulab hai

    meri KHushbuon si hai dastan ye jahan meri kitab hai

    main qalam ka ek sipahi hun meri zehniyat mein hai shairi

    jahan fikr ki hai bulandiyan mera harf harf wo bab hai

    kabhi mere dil mein tu dekhna ki jahan tamam simaT gae

    kare zikr jis ka har ek zaban mere dard ka wo shabab hai

    tujhe sath kaise main le chalun main safar pe hun kisi tur ke

    tere sath chalti hain mastiyan teri chaal mauj-e-chanab hai

    mere baal-o-par mein wo hausla hai jo aasman ko sameT le

    jo mujhe banaega jawedan meri chashm-e-tar mein wo KHwab hai

    mujhe le ke chalna hai le ke chal par use bhi le le tu sath mein

    mujhe kar na paega tu bayan main sawal hun wo jawab hai

    main nashe mein tere hi chur hun tere pas ho ke bhi dur hun

    tu mere wajud mein hai nihan tera gham hi meri sharab hai

    ye nujum-o-shams-o-qamar sabhi mein jo raushni hai mujhi se hai

    mera qarz-dar hai aasman mere zaKHmon hi ki wo tab hai

    main ne sarf kar di hai zindagi teri manzilon ki talash mein

    tujhe DhunDhta na phira kahan mere ishq ka tu sarab hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now