Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera hi KHauf har ek moD par mile hai mujhe

Shakeeb Rizvi

mera hi KHauf har ek moD par mile hai mujhe

Shakeeb Rizvi

MORE BYShakeeb Rizvi

    mirā ḳhauf har ik moḌ par mile hai mujhe

    navāh-e-jāñ koī aaseb lage hai mujhe

    maiñ dāstāñ tarah har sadī ke zehn meñ huuñ

    koī likhe hai mujhe aur koī paḌhe hai mujhe

    jo mere qad ko añdheroñ meñ chhoḌ aayā thā

    shuā-e-zar tarah saath le chale hai mujhe

    maiñ kyā huuñ kaun huuñ pahchān meñ nahīñ aatā

    jo jis ke meñ samā.e hai so kahe hai mujhe

    maiñ tez-gām jo manzil samt baḌhtā huuñ

    kisī ābla-pā.ī pukār le hai mujhe

    jahāñ nahīñ hai vahāñ bhī haiñ us ke hangāme

    har ik maqām se us ḳhabar mile hai mujhe

    jo ek umr mire roz-o-shab sāthī thā

    koī batāo ki vo shaḳhs kyā kahe hai mujhe

    maiñ apnā lahn shuāoñ ko baañT aayā huuñ

    ye ehtisāb abas be-navā kare hai mujhe

    yahī libās to pahchān ban gayā hai mirī

    ye merā ḳhirqa-e-pārīna saje hai mujhe

    shajar phalā hai to sau haath baḌh rahe haiñ 'shakeb'

    har ek shāḳh pe apnā sar lage hai mujhe

    mera hi KHauf har ek moD par mile hai mujhe

    nawah-e-jaan koi aaseb sa lage hai mujhe

    main dastan ki tarah har sadi ke zehn mein hun

    koi likhe hai mujhe aur koi paDhe hai mujhe

    jo mere qad ko andheron mein chhoD aaya tha

    shua-e-zar ki tarah sath le chale hai mujhe

    main kya hun kaun hun pahchan mein nahin aata

    jo jis ke ji mein samae hai so kahe hai mujhe

    main tez-gam jo manzil ki samt baDhta hun

    kisi ki aabla-pai pukar le hai mujhe

    jahan nahin hai wahan bhi hain us ke hangame

    har ek maqam se us ki KHabar mile hai mujhe

    jo ek umr mere roz-o-shab ka sathi tha

    koi batao ki wo shaKHs kya kahe hai mujhe

    main apna lahn shuaon ko banT aaya hun

    ye ehtisab abas be-nawa kare hai mujhe

    yahi libas to pahchan ban gaya hai meri

    ye mera KHirqa-e-parina hi saje hai mujhe

    shajar phala hai to sau hath baDh rahe hain 'shakeb'

    har ek shaKH pe apna hi sar lage hai mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now