Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera KHwab-e-tamanna saat-e-bedar jaisa hai

Ramz Azimabadi

mera KHwab-e-tamanna saat-e-bedar jaisa hai

Ramz Azimabadi

MORE BYRamz Azimabadi

    mirā ḳhvāb-e-tamannā sā.at-e-bedār jaisā hai

    magar ik ik nafas chaltī huī talvār jaisā hai

    nazar apnī navāh-e-rañg se aage nahīñ baḌhtī

    pas-e-manzar yaqīnan sāya-e-dīvār jaisā hai

    dil-āzārī mirī fitrat meñ shāmil hai na aadat meñ

    tumheñ ma.alūm hogā mirā kirdār jaisā hai

    tamannā.ī to haiñ lekin koī aage nahīñ baḌhtā

    mirī shohrat hañgāma farāz-e-dār jaisā hai

    samundar aadmī khā gayā kitne safīne ko

    yahāñ jo shahr hai vo dosto mañjdhār jaisā hai

    ye duniyā milkiyat apnī na virsa hai buzurgoñ

    yahāñ jo aadmī hai vo kirā.e-dār jaisā hai

    talavvun ke sivā kuchh bhī nahīñ miltā manāzir meñ

    kisī mausam se miliye vo mizāj-e-yār jaisā hai

    ye kyūñkar munfarid hotā hai ye uslūb-e-ġhazal terā

    zamīñ ke rañg jaisā chāñd ke ruḳhsār jaisā hai

    milo jis se bhī vo sūd-o-ziyāñ guftugū chheḌe

    hamāre ahd meñ rishta bhī kārobār jaisā hai

    hazāroñ kaam hoñ paḌhiye magar column zarūrat

    mire bachche chehra sub.h ke aḳhbār jaisā hai

    mubārak 'ramz' tujh ko ḳhusrav-e-mulk-e-suḳhan honā

    hathelī meñ jo chhālā hai vahī dīnār jaisā hai

    mera KHwab-e-tamanna saat-e-bedar jaisa hai

    magar ek ek nafas chalti hui talwar jaisa hai

    nazar apni nawah-e-rang se aage nahin baDhti

    pas-e-manzar yaqinan saya-e-diwar jaisa hai

    dil-azari meri fitrat mein shamil hai na aadat mein

    tumhein malum hi hoga mera kirdar jaisa hai

    tamannai to hain lekin koi aage nahin baDhta

    meri shohrat ka hangama faraaz-e-dar jaisa hai

    samundar aadmi ka kha gaya kitne safine ko

    yahan jo shahr hai wo dosto manjdhaar jaisa hai

    ye duniya milkiyat apni na wirsa hai buzurgon ka

    yahan jo aadmi hai wo kirae-dar jaisa hai

    talawwun ke siwa kuchh bhi nahin milta manazir mein

    kisi mausam se miliye wo mizaj-e-yar jaisa hai

    ye kyunkar munfarid hota hai ye uslub-e-ghazal tera

    zamin ke rang jaisa chand ke ruKHsar jaisa hai

    milo jis se bhi wo sud-o-ziyan ki guftugu chheDe

    hamare ahd mein rishta bhi karobar jaisa hai

    hazaron kaam hon paDhiye magar column zarurat ka

    mere bachche ka chehra subh ke aKHbar jaisa hai

    mubarak 'ramz' tujh ko KHusraw-e-mulk-e-suKHan hona

    hatheli mein jo chhaala hai wahi dinar jaisa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now