Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera KHwab mera KHayal tu tera zikr hai meri guftugu

Asrarul Haq Asrar

mera KHwab mera KHayal tu tera zikr hai meri guftugu

Asrarul Haq Asrar

MORE BYAsrarul Haq Asrar

    mirā ḳhvāb merā ḳhayāl tirā zikr hai mirī guftugū

    mirā har nafas tirī aarzū mirā har qadam tirī justujū

    mujhe zid nahīñ magar aa bhī baḌā yās-o-ġham hujūm hai

    tire dard mire zabt kahīñ luT na jaa.e ye aabrū

    maiñ malāmatoñ shikār bhī mujhe kāfirī ḳhitāb bhī

    mirī mai-kashī ḳhumār mirī bandagī shi.ār

    ye kaThin to hai mire dosto mujhe mo.ajizoñ pe bhī hai yaqīñ

    kabhī aa.e aisā bhī ek din ki use bhī ho mirī justujū

    nahīñ aql-o-faham dastaras haiñ ajiib dil ke muāmle

    kabhī nik.hatoñ se latīf-tar kabhī rasan-o-dār se dū-badū

    tirā ruup bhī tirā rañg bhī tire gesuoñ mahak bhī thī

    kabhī aa gayā huuñ jo daf.atan maiñ ḳhud apne aap ke rū-ba-rū

    yūñhī ek halkī choT se vo na jaane kaise bikhar gayā

    vo jo ḳhud ko kahtā thā āhanī baḌī sho.ala-bār thī guftugū

    mera KHwab mera KHayal tu tera zikr hai meri guftugu

    mera har nafas teri aarzu mera har qadam teri justuju

    mujhe zid nahin magar aa bhi ja baDa yas-o-gham ka hujum hai

    tere dard ki mere zabt ki kahin luT na jae ye aabru

    main malamaton ka shikar bhi mujhe kafiri ka KHitab bhi

    meri mai-kashi ka KHumar tu meri bandagi ka shiar tu

    ye kaThin to hai mere dosto mujhe moajizon pe bhi hai yaqin

    kabhi aae aisa bhi ek din ki use bhi ho meri justuju

    nahin aql-o-faham ki dastaras hain ajib dil ke muamle

    kabhi nikhaton se latif-tar kabhi rasan-o-dar se du-badu

    tera rup bhi tera rang bhi tere gesuon ki mahak bhi thi

    kabhi aa gaya hun jo dafatan main KHud apne aap ke ru-ba-ru

    yunhi ek halki si choT se wo na jaane kaise bikhar gaya

    wo jo KHud ko kahta tha aahani baDi shoala-bar thi guftugu

    Source:

    Dastaras (Pg. 63)

    • Author: Asrarul Haq Asrar
      • Publisher: Asrarul Haq Asrar
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now