Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera payam hai arbab-e-fikr-o-fan ke liye

Shameem Farooq Banspari

mera payam hai arbab-e-fikr-o-fan ke liye

Shameem Farooq Banspari

MORE BYShameem Farooq Banspari

    mirā payām hai arbāb-e-fikr-o-fan ke liye

    ki man ḳhuuñ na kareñ irtaqā-e-tan ke liye

    jahān-e-fikr meñ tasbīh bhī hai teġh bhī hai

    vo ḳhud-shikan ke liye hai ye saf-shikan ke liye

    mirī samajh meñ na yazdāniyoñ baat aa.ī

    ik ahraman se laḌā.ī ik ahraman ke liye

    tirā ye falsafa-e-ham-vajūdiyat ai dost

    na shaiḳh ke liye mauzūñ na barhaman ke liye

    badal ga.ī hai kuchh is tarah bāġhbāñ nazar

    ki jaise merī zarūrat nahīñ chaman ke liye

    kaho haram ke javānoñ se arziyāñ bhejeñ

    ki ḳhādimoñ zarūrat hai barhaman ke liye

    milī hai mujh ko añdheroñ se raushnī 'fārūq'

    charāġh huuñ maiñ zamāne anjuman ke liye

    mera payam hai arbab-e-fikr-o-fan ke liye

    ki man ka KHun na karen irtaqa-e-tan ke liye

    jahan-e-fikr mein tasbih bhi hai tegh bhi hai

    wo KHud-shikan ke liye hai ye saf-shikan ke liye

    meri samajh mein na yazdaniyon ki baat aai

    ek ahraman se laDai ek ahraman ke liye

    tera ye falsafa-e-ham-wajudiyat ai dost

    na shaiKH ke liye mauzun na barhaman ke liye

    badal gai hai kuchh is tarah baghban ki nazar

    ki jaise meri zarurat nahin chaman ke liye

    kaho haram ke jawanon se arziyan bhejen

    ki KHadimon ki zarurat hai barhaman ke liye

    mili hai mujh ko andheron se raushni 'faruq'

    charagh hun main zamane ki anjuman ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now