Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera yaqin hai wo aaina nikalegi

Dheerendra Singh Faiyaz

mera yaqin hai wo aaina nikalegi

Dheerendra Singh Faiyaz

MORE BYDheerendra Singh Faiyaz

    mirā yaqīn hai vo aa.inā nikālegī

    vo naqs mujh meñ phir kuchh nayā nikālegī

    mujhe bhī kuchh nahīñ kahnā ki ab ḳhamoshī

    hamāre beach koī rāsta nikālegī

    jabīñ pe us shikan hai na aañkh meñ paanī

    bhalā vo dil se hameñ aur kyā nikālegī

    mirī ḳhamoshī matlab thā sirf ḳhāmoshī

    vo is meñ pahlū magar dūsrā nikālegī

    ai duniyā bol magar kuchh nahīñ sunūñgā maiñ

    zabāñ se jo bhī achchhā burā nikālegī

    hameñ na sudh hai na ham dastakeñ sunte haiñ

    apne dil se hameñ kyā bhalā nikālegī

    maiñ dūriyoñ meñ bhī nazdīkiyāñ nikāltā huuñ

    vo fāsloñ meñ bhī kuchh fāsla nikālegī

    mera yaqin hai wo aaina nikalegi

    wo naqs mujh mein hi phir kuchh naya nikalegi

    mujhe bhi kuchh nahin kahna ki ab KHamoshi hi

    hamare beach koi rasta nikalegi

    jabin pe us ki shikan hai na aankh mein pani

    bhala wo dil se hamein aur kya nikalegi

    meri KHamoshi ka matlab tha sirf KHamoshi

    wo is mein pahlu magar dusra nikalegi

    ai duniya bol magar kuchh nahin sununga main

    zaban se jo bhi tu achchha bura nikalegi

    hamein na sudh hai na hum dastaken hi sunte hain

    tu apne dil se hamein kya bhala nikalegi

    main duriyon mein bhi nazdikiyan nikalta hun

    wo faslon mein bhi kuchh fasla nikalegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now