Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera ye malba mera KHaraba tumhaari yaadon se laD raha hai

Dinesh naaidu

mera ye malba mera KHaraba tumhaari yaadon se laD raha hai

Dinesh naaidu

MORE BYDinesh naaidu

    mirā ye malba mirā ḳharāba tumhārī yādoñ se laḌ rahā hai

    usī ta.amīr ho rahī hai vo ek ghar jo nahīñ bachā hai

    paḌe hue haiñ jalī-bujhī cigaretoñ ke TukḌe har ik jagah par

    aur ek chehra shagufta chehra tamām ghar meñ basā huā hai

    lagā rahī hai mujhe sadā-e-havā darīche se laḌte laḌte

    mirā ye kamra ḳhamosh kamra kisī aahaT se bhar gayā hai

    kahīñ se saaye bhī aa ga.e haiñ mujhe sunāne kahānī apnī

    koī fasāna bhī dhīre dhīre buland manzar se ho rahā hai

    bulā rahīñ haiñ mujhe dobāra udāsiyoñ hasīn vaadī

    kisī yādoñ sabz-mausam abhī bhī taaza banā huā hai

    jo rañg-roġhan bikhar rahe haiñ tamām ghar meñ atā hai us

    bas ek aamad se us vīrāñ khañDar ye ghar bhī uThā hai

    mera ye malba mera KHaraba tumhaari yaadon se laD raha hai

    usi ki tamir ho rahi hai wo ek ghar jo nahin bacha hai

    paDe hue hain jali-bujhi cigareton ke TukDe har ek jagah par

    aur ek chehra shagufta chehra tamam ghar mein basa hua hai

    laga rahi hai mujhe sada-e-hawa dariche se laDte laDte

    mera ye kamra KHamosh kamra kisi ki aahaT se bhar gaya hai

    kahin se saye bhi aa gae hain mujhe sunane kahani apni

    koi fasana bhi dhire dhire buland manzar se ho raha hai

    bula rahin hain mujhe dobara udasiyon ki hasin wadi

    kisi ki yaadon ka sabz-mausam abhi bhi taza bana hua hai

    jo rang-roghan bikhar rahe hain tamam ghar mein ata hai us ki

    bas ek aamad se us ki viran khanDar sa ye ghar bhi ji uTha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now