Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere aibon ki islahen hua kin bahas-e-dushman se

Hafeez Jaunpuri

mere aibon ki islahen hua kin bahas-e-dushman se

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    mire aiboñ islāheñ huā kiiñ bahas-e-dushman se

    liyā hai rāhbar kaam aksar maiñ ne dushman se

    vo motī huuñ jo kho jaatā hai sāhil meñ samundar ke

    vo daana huuñ bikhar ke duur hotā hai jo ḳhirman se

    fazā sahrā āñkhoñ se jo dekheñ haiñ vo kah deñge

    gul-e-ḳhud-rau aalam kam nahīñ gul-hā-e-gulshan se

    kisī dostī yuuñ ḳhaak meñ koī milātā hai

    mire baare meñ tum aur mashvare lete ho dushman se

    tamāshā dekhiye mahshar meñ qātil mujh se laḌtā hai

    ki apne ḳhuun dhabba chhuḌā de mere dāman se

    zamīñ se āsmāñ tak chhā rahī jo ye udāsī hai

    bagūla koī uTThā hai kisī bekas ke madfan se

    qarīb-e-dar pahuñch kar yuuñ ġhash aane sabab āḳhir

    ye mumkin hai jhalak us nazar aa.ī ho chilman se

    har aafat se chaman mahfūz hai ab to ye suntā huuñ

    adāvat barq-e-sarsar ko thī mere nasheman se

    ġharaz kyā bahas-o-hujjat se hamārā to ye mashrab hai

    jahāñ tak ho kināre rahe shaiḳh-o-barahman se

    'hafīz' us ko samajh le ḳhuub haiñ ye kaam bāteñ

    agar rif.at-talab hai jhuk ke mil har dost dushman se

    mere aibon ki islahen hua kin bahas-e-dushman se

    liya hai rahbar ka kaam aksar main ne dushman se

    wo moti hun jo kho jata hai sahil mein samundar ke

    wo dana hun bikhar ke dur hota hai jo KHirman se

    faza sahra ki aankhon se jo dekhen hain wo kah denge

    gul-e-KHud-rau ka aalam kam nahin gul-ha-e-gulshan se

    kisi ki dosti yun KHak mein koi milata hai

    mere bare mein tum aur mashware lete ho dushman se

    tamasha dekhiye mahshar mein qatil mujh se laDta hai

    ki apne KHun ka dhabba chhuDa de mere daman se

    zamin se aasman tak chha rahi jo ye udasi hai

    bagula koi uTTha hai kisi bekas ke madfan se

    qarib-e-dar pahunch kar yun ghash aane ka sabab aaKHir

    ye mumkin hai jhalak us ki nazar aai ho chilman se

    har aafat se chaman mahfuz hai ab to ye sunta hun

    adawat barq-e-sarsar ko thi mere hi nasheman se

    gharaz kya bahas-o-hujjat se hamara to ye mashrab hai

    jahan tak ho kinare hi rahe shaiKH-o-barahman se

    'hafiz' us ko samajh le KHub hain ye kaam ki baaten

    agar rifat-talab hai jhuk ke mil har dost dushman se

    Source:

    Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-251 Page Number-216)

    • Author: Tufail Ahmad Ansari
      • Edition: 2010
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now