Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere azab ki pur-kaif raat KHatm hui

Abhay Kumar Bebak

mere azab ki pur-kaif raat KHatm hui

Abhay Kumar Bebak

MORE BYAbhay Kumar Bebak

    mire 'azāb pur-kaif raat ḳhatm huī

    sahar baat chhiḌī thī so baat ḳhatm huī

    bikharte TūTte lamhāt kyā gila karte

    fasāna ban ke musalsal hayāt ḳhatm huī

    phir aaj rah gayā kaasa faqīr ḳhālī

    mazār-e-ḳhās tak aa kar barāt ḳhatm huī

    mujhe yaqīn hai baaqī rahegī duniyā meñ

    unheñ gumāñ hai ki insāñ zaat ḳhatm huī

    har ek baat 'bebāk' sharh mushkil hai

    ḳhayāl-e-yār pahlī baat ḳhatm huī

    mere 'azab ki pur-kaif raat KHatm hui

    sahar ki baat chhiDi thi so baat KHatm hui

    bikharte TuTte lamhat kya gila karte

    fasana ban ke musalsal hayat KHatm hui

    phir aaj rah gaya kasa faqir ka KHali

    mazar-e-KHas tak aa kar baraat KHatm hui

    mujhe yaqin hai baqi rahegi duniya mein

    unhen guman hai ki insan ki zat KHatm hui

    har ek baat ki 'bebak' sharh mushkil hai

    KHayal-e-yar ki pahli si baat KHatm hui

    Source:

    Khumar-e-Khwab (Pg. 94)

    • Author: Abhay Kumar Bebak
      • Publisher: Abhay Kumar Bebak
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now