Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere badan mein lahu ka kaTaw aisa tha

Abbas Tabish

mere badan mein lahu ka kaTaw aisa tha

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

  mire badan meñ lahū kaTāv aisā thā

  ki merā har-bun-e-mū ek ghaav aisā thā

  bichhaḌte vaqt ajab uljhanoñ meñ Daal gayā

  vo ek shaḳhs ki sīdhe subhāv aisā thā

  chalī jo baat koī raat ke ta.āqub meñ

  to baat baat se niklī bahāv aisā thā

  maiñ puurā puurā ravāna thā abjadoñ taraf

  hisāb-e-umr tirā chal-chalāv aisā thā

  gul-e-nashāt ḳhushbū bhī baar thī mujh ko

  mire mizāj meñ ġham rachāv aisā thā

  kanār-e-lab meñ na rahtī thī mauj-e-goyā.ī

  tabī.atoñ meñ suḳhan bahāv aisā thā

  Thahartā kyā mirī ḳhākistarī nigāhoñ meñ

  tirā vajūd to raushan alaav aisā thā

  nikal sakī na koī bhī farār sūrat

  sipāh-e-zīst mujh par paḌāv aisā thā

  na chaah kar bhī use dil se chāhte the ham

  kisī laag meñ 'tābish' lagāv aisā thā

  mere badan mein lahu ka kaTaw aisa tha

  ki mera har-bun-e-mu ek ghaw aisa tha

  bichhaDte waqt ajab uljhanon mein Dal gaya

  wo ek shaKHs ki sidhe subhaw aisa tha

  chali jo baat koi raat ke taaqub mein

  to baat baat se nikli bahaw aisa tha

  main pura pura rawana tha abjadon ki taraf

  hisab-e-umr tera chal-chalaw aisa tha

  gul-e-nashat ki KHushbu bhi bar thi mujh ko

  mere mizaj mein gham ka rachaw aisa tha

  kanar-e-lab mein na rahti thi mauj-e-goyai

  tabiaton mein suKHan ka bahaw aisa tha

  Thaharta kya meri KHakistari nigahon mein

  tera wajud to raushan alaw aisa tha

  nikal saki na koi bhi farar ki surat

  sipah-e-zist ka mujh par paDaw aisa tha

  na chah kar bhi use dil se chahte the hum

  kisi ki lag mein 'tabish' lagaw aisa tha

  Source :
  • Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 117)

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now