Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere badan pe saja hai barahnagi ka libas

Tahir Hanfi

mere badan pe saja hai barahnagi ka libas

Tahir Hanfi

MORE BYTahir Hanfi

    mire badan pe sajā hai barahnagī libās

    yahī libās huā merī zindagī libās

    mirā ye jurm ki merī anā ke shānoñ par

    paḌā huā hai ġham-e-marg-e-dostī libās

    na mujh ko ḳhvāhish-e-hastī na aas marne

    ki ab laboñ ne dikhāyā hai tishnagī libās

    fasīl-e-shahr pe merī sadā bhī raushan hai

    zamāna pheñkne vaalā hai tīrgī libās

    vo jism-o-jāñ ko chhupā.e to phir bhī uryāñ hai

    ki merī aañkh meñ raqsāñ hai rahbarī libās

    lahū ke rang surḳhī badan vīrānī

    kis ehtimām se laayā hai aadmī libās

    ye garm sard havā.eñ ye āñdhiyāñ 'tāhir'

    ki chāk-chāk huā ab ke āgahī libās

    mere badan pe saja hai barahnagi ka libas

    yahi libas hua meri zindagi ka libas

    mera ye jurm ki meri ana ke shanon par

    paDa hua hai gham-e-marg-e-dosti ka libas

    na mujh ko KHwahish-e-hasti na aas marne ki

    ki ab labon ne dikhaya hai tishnagi ka libas

    fasil-e-shahr pe meri sada bhi raushan hai

    zamana phenkne wala hai tirgi ka libas

    wo jism-o-jaan ko chhupae to phir bhi uryan hai

    ki meri aankh mein raqsan hai rahbari ka libas

    lahu ke rang ki surKHi badan ki virani

    kis ehtimam se laya hai aadmi ka libas

    ye garm sard hawaen ye aandhiyan 'tahir'

    ki chaak-chaak hua ab ke aagahi ka libas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now