mere chaar-su hain udasiyan mere ghar mein rahta wabaal hai
mire chār-sū haiñ udāsiyāñ mire ghar meñ rahtā vabāl hai
mire chārāgar mirā saath de mirī zindagī kā savāl hai
mire sāmne hī ujaḌ ga.iiñ mirī ārzūoñ kī bastiyāñ
na maiñ jī sakūñ na maiñ mar sakūñ huā aisā merā bhī haal hai
tirā saath mujh ko jo mil gayā to badal ga.ī mirī kā.enāt
na vo ġham rahā na udāsiyāñ mire dil meñ paḌtī dhamāl hai
tire hoñT se jo nikal ga.ī vahī baat mujh ko 'azīz hai
tujhe merī koī ḳhabar nahīñ mujhe rahtā terā ḳhayāl hai
mere chaar-su hain udasiyan mere ghar mein rahta wabaal hai
mere chaaragar mera sath de meri zindagi ka sawal hai
mere samne hi ujaD gain meri aarzuon ki bastiyan
na main ji sakun na main mar sakun hua aisa mera bhi haal hai
tera sath mujh ko jo mil gaya to badal gai meri kaenat
na wo gham raha na udasiyan mere dil mein paDti dhamal hai
tere honT se jo nikal gai wahi baat mujh ko 'aziz hai
tujhe meri koi KHabar nahin mujhe rahta tera KHayal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.