Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere dast-e-junun ki fitna-samani ko kya kahiye

Hasrat Saharvardi

mere dast-e-junun ki fitna-samani ko kya kahiye

Hasrat Saharvardi

MORE BYHasrat Saharvardi

    mire dast-e-junūñ fitna-sāmānī ko kyā kahiye

    ki ik aalam pareshāñ hai pareshānī ko kyā kahiye

    jahān-e-rang-o-bū vus.ateñ vaq.at nahīñ rakhtīñ

    mire josh-e-taḳhayyul farāvānī ko kyā kahiye

    kisī yaad se qaa.em hai raunaq bazm-e-imkāñ meñ

    kisī yaad ke jalvoñ tābānī ko kyā kahiye

    lab-e-lālīñ se piine meñ mujhe kyā aar hai hamdam

    sisaktī chīḳhtī is nau-e-insānī ko kyā kahiye

    kisī sūrat dil-e-mahzūñ ko bahlāyā nahīñ jaatā

    dil-e-mahzūñ is turfa pareshānī ko kyā kahiye

    yahī maujeñ kabhī ruḳh pher detī thiiñ safīnoñ

    inhīñ maujoñ ab be-sāz-o-sāmānī ko kyā kahiye

    mere dast-e-junun ki fitna-samani ko kya kahiye

    ki ek aalam pareshan hai pareshani ko kya kahiye

    jahan-e-rang-o-bu ki wusaten waqat nahin rakhtin

    mere josh-e-taKHayyul ki farawani ko kya kahiye

    kisi ki yaad se qaem hai raunaq bazm-e-imkan mein

    kisi ki yaad ke jalwon ki tabani ko kya kahiye

    lab-e-lalin se pine mein mujhe kya aar hai hamdam

    sisakti chiKHti is nau-e-insani ko kya kahiye

    kisi surat dil-e-mahzun ko bahlaya nahin jata

    dil-e-mahzun ki is turfa pareshani ko kya kahiye

    yahi maujen kabhi ruKH pher deti thin safinon ka

    inhin maujon ki ab be-saz-o-samani ko kya kahiye

    Source:

    Boo-e-Gul Nala-e-Dil (Pg. 25)

    • Author: Hasrat Saharvardi
      • Publisher: Shalimar Publications, Hyderabad
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now