aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere etimad ko gham mila meri jab kisi pe nazar gai

Shams Farrukhabadi

mere etimad ko gham mila meri jab kisi pe nazar gai

Shams Farrukhabadi

MORE BYShams Farrukhabadi

    mire e'timād ko ġham milā mirī jab kisī pe nazar ga.ī

    isī justujū isī karb meñ mirī saarī umr guzar ga.ī

    kabhī ban ke ishq rāz-dāñ kabhī ho ke aah dāstāñ

    ka.ī tarah tere huzūr tak mire hāl-e-dil ḳhabar ga.ī

    mujhe mere haal pe chhoḌ do mire dosto ye karam karo

    mirī umr-e-rafta ko do sadā mujhe dard de ke kidhar ga.ī

    kabhī mai-kashoñ se ḳhulūs thā tirī chashm-e-shīsha-navāz ko

    magar ab ye duur hai sāqiyā ki nazar se qadr-e-bashar ga.ī

    mujhe zabt-e-ġham na de sabaq zarā apne haal pe kar nazar

    mirī uljhanoñ ke ḳhayāl se tirī zulf bhī to bikhar ga.ī

    ye to vaqt vaqt baat hai koī ro diyā koī hañs diyā

    mirī vārdāt-e-dil-o-nazar mirī zindagī pe guzar ga.ī

    kise DhūñDte ho nagar nagar kise shahr shahr ho pūchhte

    tumheñ shams' jis talāsh hai vo nigāh-e-ā.ina gir ga.ī

    mere e'timad ko gham mila meri jab kisi pe nazar gai

    isi justuju isi karb mein meri sari umr guzar gai

    kabhi ban ke ishq ki raaz-dan kabhi ho ke aah ki dastan

    kai tarah tere huzur tak mere haal-e-dil ki KHabar gai

    mujhe mere haal pe chhoD do mere dosto ye karam karo

    meri umr-e-rafta ko do sada mujhe dard de ke kidhar gai

    kabhi mai-kashon se KHulus tha teri chashm-e-shisha-nawaz ko

    magar ab ye dur hai saqiya ki nazar se qadr-e-bashar gai

    mujhe zabt-e-gham ka na de sabaq zara apne haal pe kar nazar

    meri uljhanon ke KHayal se teri zulf bhi to bikhar gai

    ye to waqt waqt ki baat hai koi ro diya koi hans diya

    meri wardat-e-dil-o-nazar meri zindagi pe guzar gai

    kise DhunDte ho nagar nagar kise shahr shahr ho puchhte

    tumhein shams' jis ki talash hai wo nigah-e-aina gir gai

    Source:

    Jalte kanval (Pg. E-23 B-21)

    • Author: Shams Farrukhabadi
      • Edition: 1968
      • Publisher: Matba Nami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now