Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere hathon mein ubhra hai ye naqsha kis tarah ka hai

Aisha Ayub

mere hathon mein ubhra hai ye naqsha kis tarah ka hai

Aisha Ayub

MORE BYAisha Ayub

    mire hāthoñ meñ ubhrā hai ye naqsha kis tarah hai

    mirī āñkhoñ meñ Thahrā hai ye dariyā kis tarah hai

    ye merā jism hai āzād lekin ruuh qaidī hai

    ḳhudāyā koī batlā.e ye piñjrā kis tarah hai

    mirī aahoñ ko mere qahqahoñ ne Dhāñk rakkhā hai

    mirī is laash ke uupar ye malba kis tarah hai

    hai jin meñ bojh duniyā bhar maz.hab ke havāloñ se

    mire bachchoñ ke kāñdhe par ye basta kis tarah hai

    tumheñ mālūm bhī hai ki vo niyyat ko parakhtā hai

    ye kis lālach meñ karte ho ye sajda kis tarah hai

    maiñ ḳhud ko DhūñDne niklī thī kuchh bikhre varaq le kar

    tire andar huuñ pahuñchī ye naqsha kis tarah hai

    hameñ āvāz denā hai nabī ko jānib-e-mahshar

    ḳhudā āvāz de jis ko vo banda kis tarah hai

    mere hathon mein ubhra hai ye naqsha kis tarah ka hai

    meri aankhon mein Thahra hai ye dariya kis tarah ka hai

    ye mera jism hai aazad lekin ruh qaidi hai

    KHudaya koi batlae ye pinjra kis tarah ka hai

    meri aahon ko mere qahqahon ne Dhank rakkha hai

    meri is lash ke upar ye malba kis tarah ka hai

    hai jin mein bojh duniya bhar ka mazhab ke hawalon se

    mere bachchon ke kandhe par ye basta kis tarah ka hai

    tumhein malum bhi hai ki wo niyyat ko parakhta hai

    ye kis lalach mein karte ho ye sajda kis tarah ka hai

    main KHud ko DhunDne nikli thi kuchh bikhre waraq le kar

    tere andar hun ja pahunchi ye naqsha kis tarah ka hai

    hamein aawaz dena hai nabi ko jaanib-e-mahshar

    KHuda aawaz de jis ko wo banda kis tarah ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now