mire haq meñ koī aisī duā kar
maiñ zinda rah sakūñ tujh ko bhulā kar
fasurda huuñ tujhe kho kar ki jaise
koī bachcha qalam taḳhtī gañvā kar
yahāñ sūraj se ḳhālī din haiñ saare
kahā to thā tujhe raushan diyā kar
bhulāne kī maiñ koshish kar rahā huuñ
tirī tasvīr kamre meñ sajā kar
huā mahrūm maiñ shams o qamar se
ghanā ik peḌ āñgan meñ lagā kar
mujhe mere muqābil kar diyā hai
kisī ne ā.īna mujh ko dikhā kar
ḳhud apnā rāsta hī kho diyā hai
safar meñ gard paañv se uḌā kar
maiñ kaise shauq kī taskīn kartā
kisī zaḳhmī parinde ko uḌā kar
maiñ chuntā phirtā huuñ kāġhaz ke TukḌe
kitāboñ ko samundar meñ bahā kar
ghuTan ko kar liyā apnā muqaddar
makāñ ko shahr se ūñchā uThā kar
maiñ us ko jāntā huuñ baat merī
vo ab bhī Taal degā muskurā kar
'naved'-e-sub.h kā hāsil hai sūraj
ujālā hogā tāroñ ko miTā kar
mere haq mein koi aisi dua kar
main zinda rah sakun tujh ko bhula kar
fasurda hun tujhe kho kar ki jaise
koi bachcha qalam taKHti ganwa kar
yahan suraj se KHali din hain sare
kaha to tha tujhe raushan diya kar
bhulane ki main koshish kar raha hun
teri taswir kamre mein saja kar
hua mahrum main shams o qamar se
ghana ek peD aangan mein laga kar
mujhe mere muqabil kar diya hai
kisi ne aaina mujh ko dikha kar
KHud apna rasta hi kho diya hai
safar mein gard panw se uDa kar
main kaise shauq ki taskin karta
kisi zaKHmi parinde ko uDa kar
main chunta phirta hun kaghaz ke TukDe
kitabon ko samundar mein baha kar
ghuTan ko kar liya apna muqaddar
makan ko shahr se uncha uTha kar
main us ko jaanta hun baat meri
wo ab bhi Tal dega muskura kar
'nawed'-e-subh ka hasil hai suraj
ujala hoga taron ko miTa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.