Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere jazbaat-e-rangin ki farawani nahin jati

Sabir Dehlavi

mere jazbaat-e-rangin ki farawani nahin jati

Sabir Dehlavi

MORE BYSabir Dehlavi

    mire jazbāt-e-rañgīñ farāvānī nahīñ jaatī

    ki āñkhoñ se tire jalve tābānī nahīñ jaatī

    faroġh-e-husn hai merī nazroñ ye ḳhāmī hai

    ba-har-sūrat tirī tasvīr pahchānī nahīñ jaatī

    mohabbat aap dil se bhulā duuñ kis tarah kyuuñ kar

    ba-mushkil shai jo aa.ī ho ba-āsānī nahīñ jaatī

    kahāñ khīñch laayā ai mazāq-e-āshiqī mujh ko

    jahāñ mujh se mirī tasvīr pahchānī nahīñ jaatī

    mujhe tark-e-ta.alluq par na kar majbūr ai nāseh

    ḳhilāf-e-aql koī baat ho maanī nahīñ jaatī

    tumhāre jaur-e-behad ne ye baḳhshā hai sharaf mujh ko

    shikast-e-dil bhī āvāz pahchānī nahīñ jaatī

    koī 'sābir' se dīvāne ko samjhā.e bhalā kyuuñ kar

    parastār-e-junūñ chāk-dāmānī nahīñ jaatī

    mere jazbaat-e-rangin ki farawani nahin jati

    ki aankhon se tere jalwe ki tabani nahin jati

    farogh-e-husn hai ya meri nazron ki ye KHami hai

    ba-har-surat teri taswir pahchani nahin jati

    mohabbat aap ki dil se bhula dun kis tarah kyun kar

    ba-mushkil shai jo aai ho ba-asani nahin jati

    kahan tu khinch laya ai mazaq-e-ashiqi mujh ko

    jahan mujh se meri taswir pahchani nahin jati

    mujhe tark-e-talluq par na kar majbur ai naseh

    KHilaf-e-aql koi baat ho mani nahin jati

    tumhaare jaur-e-behad ne ye baKHsha hai sharaf mujh ko

    shikast-e-dil ki bhi aawaz pahchani nahin jati

    koi 'sabir' se diwane ko samjhae bhala kyun kar

    parastar-e-junun ki chaak-damani nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now