Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere jurm-e-ishq ki is qadar mujhe ai nadim saza na de

Mansoor Ahmad

mere jurm-e-ishq ki is qadar mujhe ai nadim saza na de

Mansoor Ahmad

MORE BYMansoor Ahmad

    mire jurm-e-ishq is qadar mujhe ai nadīm sazā na de

    mire dil pe itnī jafā na kar mujhe yuuñ nazar se girā na de

    yahī ek gauhar-e-be-bahā mirī zindagī hai mā-hasal

    mujhe Dar hai terī ye be-ruḳhī ġham-e-ārzū ko miTā na de

    hai ḳhamosh ātish-e-zindagī magar ik sharar tire ishq

    mire dil meñ ab bhī chamak rahā hai use bhī yaas bujhā na de

    ab agarche qābil-e-etibār hai ġhair vafā magar

    mirī us vafā ko jo e'tibār se gir chukī hai bhulā na de

    jo mujhe yaqīñ ho ki maiñ tere harīm-e-ġham rafīq huuñ

    to balā se gar mujhe bazm-e-aish meñ baar terī atā na de

    mere jurm-e-ishq ki is qadar mujhe ai nadim saza na de

    mere dil pe itni jafa na kar mujhe yun nazar se gira na de

    yahi ek gauhar-e-be-baha meri zindagi ka hai ma-hasal

    mujhe Dar hai teri ye be-ruKHi gham-e-arzu ko miTa na de

    hai KHamosh aatish-e-zindagi magar ek sharar tere ishq ka

    mere dil mein ab bhi chamak raha hai use bhi yas bujha na de

    ab agarche qabil-e-etibar hai ghair hi ki wafa magar

    meri us wafa ko jo e'tibar se gir chuki hai bhula na de

    jo mujhe yaqin ho ki main hi tere harim-e-gham ka rafiq hun

    to bala se gar mujhe bazm-e-aish mein bar teri ata na de

    Source:

    Shora-e-Punjab (Pg. e-173 p-159)

      • Edition: 1937
      • Publisher: Gujarat Printing Press, Gujarat
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now