Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere kamre mein puri chandni hai

Dinesh naaidu

mere kamre mein puri chandni hai

Dinesh naaidu

MORE BYDinesh naaidu

    mire kamre meñ puurī chāñdnī hai

    faqat terī kamī baaqī rahī hai

    maiñ sahrā meñ tasallī se rahūñgā

    musalsal tishnagī tishnagī hai

    ḳhamoshī oḌh kar baiThe haiñ sab peḌ

    ye bārish aaj kitnī ḳhushk hai

    havā aa.ī hai kis duniyā se ho kar

    har ik Tahnī shajar kāñptī hai

    abhī to sardiyoñ daur hogā

    fazā ronā thā jitnā ro chukī hai

    maiñ har dīpak bujhātā rahā huuñ

    merī duniyā meñ itnī raushnī hai

    darīcha ab nahīñ khultā tumhārā

    nazar lekin kisī māntī hai

    vo jo hassās laḌkā mar gayā thā

    ab us shauq keval shā.irī hai

    kabhī Thahrā nahīñ phūloñ mausam

    diloñ TuuT jaanā qudratī hai

    mere kamre mein puri chandni hai

    faqat teri kami baqi rahi hai

    main sahra mein tasalli se rahunga

    musalsal tishnagi hi tishnagi hai

    KHamoshi oDh kar baiThe hain sab peD

    ye barish aaj kitni KHushk si hai

    hawa aai hai kis duniya se ho kar

    har ek Tahni shajar ki kanpti hai

    abhi to sardiyon ka daur hoga

    faza rona tha jitna ro chuki hai

    main har dipak bujhata ja raha hun

    meri duniya mein itni raushni hai

    daricha ab nahin khulta tumhaara

    nazar lekin kisi ki manti hai

    wo jo hassas laDka mar gaya tha

    ab us ka shauq kewal shairi hai

    kabhi Thahra nahin phulon ka mausam

    dilon ka TuT jaana qudrati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now