mere KHuda meri parwaz par nazar rakhna
mire ḳhudā mirī parvāz par nazar rakhnā
mire qadam mirī apnī zamīn par rakhnā
maiñ apnī zaat se bāhar nikal na jā.ūñ kahīñ
tū mere sāmne ā.īna mo'tabar rakhnā
diyā jalā ke maiñ ġhaflat meñ paḌ na jā.ūñ kahīñ
mujhe havāoñ kī sāzish se bā-ḳhabar rakhnā
tire liye koī mushkil nahīñ mire maulā
sulagte shahr meñ mahfūz merā ghar rakhnā
mere KHuda meri parwaz par nazar rakhna
mere qadam meri apni zamin par rakhna
main apni zat se bahar nikal na jaun kahin
tu mere samne aaina mo'tabar rakhna
diya jala ke main ghaflat mein paD na jaun kahin
mujhe hawaon ki sazish se ba-KHabar rakhna
tere liye koi mushkil nahin mere maula
sulagte shahr mein mahfuz mera ghar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.