Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere KHulus ka jab aapko KHayal nahin

Ishaq Nashad

mere KHulus ka jab aapko KHayal nahin

Ishaq Nashad

MORE BYIshaq Nashad

    mire ḳhulūs jab aap ko ḳhayāl nahīñ

    mujhe bhī tark-e-ta.alluq kuchh malāl nahīñ

    haiñ zaḳhm-e-shauq mirī zindagī sarmāya

    huuñ mutma.in ki mujhe fikr-e-indimāl nahīñ

    havādisāt-e-zamāna mirī zarūrat haiñ

    qadam qadam pe mile haiñ ye ḳhāl-ḳhāl nahīñ

    mile jo ḳhaak meñ sarsabz ho vahī daana

    hai pā.emāl vahī jo ki pā.emāl nahīñ

    ḳhaak hai tirī azmat hai ḳhāksārī meñ

    zavāl us muqaddar jise zavāl nahīñ

    har ek gaam ujālā har ik qadam saa.e

    jahān-e-ġham meñ koī hādisa muhāl nahīñ

    nasīb hotā koī ġham to jāgtī qismat

    kisī ko us se to 'nāshād' qīl-o-qāl nahīñ

    mere KHulus ka jab aap ko KHayal nahin

    mujhe bhi tark-e-talluq ka kuchh malal nahin

    hain zaKHm-e-shauq meri zindagi ka sarmaya

    hun mutmain ki mujhe fikr-e-indimal nahin

    hawadisat-e-zamana meri zarurat hain

    qadam qadam pe mile hain ye KHal-KHal nahin

    mile jo KHak mein sarsabz ho wahi dana

    hai paemal wahi jo ki paemal nahin

    tu KHak hai teri azmat hai KHaksari mein

    zawal us ka muqaddar jise zawal nahin

    har ek gam ujala har ek qadam sae

    jahan-e-gham mein koi hadisa muhaal nahin

    nasib hota koi gham to jagti qismat

    kisi ko us se to 'nashad' qil-o-qal nahin

    Source:

    (Pg. 37)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now