Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere mazi ke sondhe-sondhe-pan pe war karti hai

Amir Hamza Saqib

mere mazi ke sondhe-sondhe-pan pe war karti hai

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    mire maazī ke soñdhe-soñdhe-pan pe vaar kartī hai

    na.e malbūs ḳhushbū mujhe bīmār kartī hai

    ye fahm-e-dil-gazīda kis maqām-e-āgahī par hai

    mujhe bāb-e-junūñ markazī kirdār kartī hai

    ḳhasāre talāfī ke liye darkār naqd-e-jāñ

    mohabbat goshvārā phir nayā tayyār kartī hai

    shikāyat meñ bhī ham us razā paas rakhte haiñ

    mashiyyat kab faqīroñ ko ḳhudā-be-zār kartī hai

    mujhe khīñchtī hai kā.enātī dā.era kah kar

    ki merī zaat mujh ko nuqta-e-parkār kartī hai

    mere mazi ke sondhe-sondhe-pan pe war karti hai

    nae malbus ki KHushbu mujhe bimar karti hai

    ye fahm-e-dil-gazida kis maqam-e-agahi par hai

    mujhe bab-e-junun ka markazi kirdar karti hai

    KHasare ki talafi ke liye darkar naqd-e-jaan

    mohabbat goshwara phir naya tayyar karti hai

    shikayat mein bhi hum us ki raza ka pas rakhte hain

    mashiyyat kab faqiron ko KHuda-be-zar karti hai

    mujhe hi khinchti hai kaenati daera kah kar

    ki meri zat mujh ko nuqta-e-parkar karti hai

    Source:

    Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 65)

    • Author: Ameer Hamza Saqib
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now