Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere qarib tha uTh kar abhi yahin se gaya

Asim Wasti

mere qarib tha uTh kar abhi yahin se gaya

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    mire qarīb thā uTh kar abhī yahīñ se gayā

    is e'tibār meñ dil bārhā yaqīñ se gayā

    ḳhalā meñ us se mulāqāt ho ga.ī merī

    vo āsmān se utrā thā maiñ zamīñ se gayā

    ta'alluqāt meñ aayā hai marhala aisā

    jahāñ maiñ se gayā aur vo nahīñ se gayā

    chhupā sake na 'ibādat zaḳhm duniyā se

    ki bhar chukā bhī to ik daaġh kab jabīñ se gayā

    vo mere ghar se mukammal nahīñ gayā 'āsim'

    kahīñ kahīñ vo abhī hai kahīñ kahīñ se gayā

    mere qarib tha uTh kar abhi yahin se gaya

    is e'tibar mein dil barha yaqin se gaya

    KHala mein us se mulaqat ho gai meri

    wo aasman se utra tha main zamin se gaya

    ta'alluqat mein aaya hai marhala aisa

    jahan main ji se gaya aur wo nahin se gaya

    chhupa sake na 'ibaadat ka zaKHm duniya se

    ki bhar chuka bhi to ek dagh kab jabin se gaya

    wo mere ghar se mukammal nahin gaya 'asim'

    kahin kahin wo abhi hai kahin kahin se gaya

    Source :
    • Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 45)
    • Author :Asim Wasti
    • Publication : Rekhta Publications (2020)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now