Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere ruKHsar par aansu ka qatra ruk gaya hoga

Shahnaz Naqvi

mere ruKHsar par aansu ka qatra ruk gaya hoga

Shahnaz Naqvi

MORE BYShahnaz Naqvi

    mire ruḳhsār par aañsū qatra ruk gayā hogā

    kisī ik hasīñ chehra bahut dhuñdlā gayā hogā

    na jaane kis tarah se kar liyā apnā asiir us ne

    hamāre saath chal kar duur tak vo aa gayā hogā

    samundar hasīñ lahreñ kināre par rukeñ jaise

    vo aise merī dahlīz par aa kar rukā hogā

    mire ash.ār ke lafzoñ ko koī chhū na pā.egā

    ki vo ik lafz mere lab pe aa kar ruk gayā hogā

    taḌap jaate haiñ is miTTī ḳhushbū se kabhī ham to

    hai is dhartī koī qarz jo yaad aa gayā hogā

    ye ūñche ūñche parbat duur tak phaile hue saa.e

    ye manzar apnī yādoñ meñ zamānoñ tak rahā hogā

    kisī manzil pe to shāyad bahāreñ aa ga.ī hoñgī

    koī to rāsta hogā jo phūloñ se sajā hogā

    kisī maañ ke liye kitnī kaThin vo ik ghaḌī hogī

    kisī bachche ḳhuun jis vaqt miTTī par bahā hogā

    kisī yaad parchhā.iyāñ to saath rahtī haiñ

    ye maanā vo samay dhuñd meñ gum ho gayā hogā

    safar kitnā hasīñ ho 'nāz' ḳhvāboñ ḳhayāloñ

    magar ye silsila phir TuuT kar bikhrā huā hogā

    mere ruKHsar par aansu ka qatra ruk gaya hoga

    kisi ka ek hasin chehra bahut dhundla gaya hoga

    na jaane kis tarah se kar liya apna asir us ne

    hamare sath chal kar dur tak wo aa gaya hoga

    samundar ki hasin lahren kinare par ruken jaise

    wo aise hi meri dahliz par aa kar ruka hoga

    mere ashaar ke lafzon ko koi chhu na paega

    ki wo ek lafz mere lab pe aa kar ruk gaya hoga

    taDap jate hain is miTTi ki KHushbu se kabhi hum to

    hai is dharti ka koi qarz jo yaad aa gaya hoga

    ye unche unche parbat dur tak phaile hue sae

    ye manzar apni yaadon mein zamanon tak raha hoga

    kisi manzil pe to shayad bahaaren aa gai hongi

    koi to rasta hoga jo phulon se saja hoga

    kisi man ke liye kitni kaThin wo ek ghaDi hogi

    kisi bachche ka KHun jis waqt miTTi par baha hoga

    kisi ki yaad ki parchhaiyan to sath rahti hain

    ye mana wo samay ki dhund mein gum ho gaya hoga

    safar kitna hasin ho 'naz' KHwabon ka KHayalon ka

    magar ye silsila phir TuT kar bikhra hua hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now