mere shuur ki gahraiyon ko tolega
mire shu'ūr kī gahrā.iyoñ ko tolegā
phir us ke baa'd vo har ek raaz kholegā
abhī to jhuuT hai mahdūd sirf insāñ tak
vo daur aa.egā jab aa.ina bhī bolegā
pilā do zahr use yā chaḌhā do suulī par
vo shaḳhs sach kā pujārī hai sach hī bolegā
ghaḌā to paap kā kab kā hī bhar chukā yaaro
hilegī kab ye zamīñ kab falak ye Dolegā
laboñ pe jis ke hai 'firdaus' mohr-e-ḳhāmoshī
yaqīn hai ki vo ik roz raaz kholegā
mere shu'ur ki gahraiyon ko tolega
phir us ke ba'd wo har ek raaz kholega
abhi to jhuT hai mahdud sirf insan tak
wo daur aaega jab aaina bhi bolega
pila do zahr use ya chaDha do suli par
wo shaKHs sach ka pujari hai sach hi bolega
ghaDa to pap ka kab ka hi bhar chuka yaro
hilegi kab ye zamin kab falak ye Dolega
labon pe jis ke hai 'firdaus' mohr-e-KHamoshi
yaqin hai ki wo ek roz raaz kholega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.