Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere sine mein soz-e-arzu kis ki inayat hai

Salik Lakhnavi

mere sine mein soz-e-arzu kis ki inayat hai

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    mire siine meñ soz-e-ārzū kis ināyat hai

    subū merā mai-e-nāb-e-subū kis ināyat hai

    jahān-e-ḳhāk-zā meñ ek zarra hai vajūd apnā

    magar zarre meñ zauq-e-justujū kis ināyat hai

    garebāñ kahkashāñ thaam letī hai nazar apnī

    junūn-o-shauq shor-e-hā-o-hū kis ināyat hai

    ye maanā bāġhbāñ maiñ huuñ ye sehn-e-gulsitāñ merā

    magar phūloñ meñ josh-e-rang-o-bū kis ināyat hai

    musavvir huuñ ye mere rang haiñ ye mū-qalam merā

    magar tasvīr meñ rang-e-numū kis ināyat hai

    ye mizrāb-o-surūd-o-sāz-e-mahfil sab mire lekin

    muġhannī dil-e-āhang-jū kis ināyat hai

    ye mumkin hai nigāh-e-ishq se pinhāñ rahe jalva

    magar ehsās-e-zulf-e-mushk-bū kis ināyat hai

    ye merī bandish-e-alfāz ye merī ġhazal 'sālik'

    mire sheroñ meñ pinhāñ guftugū kis ināyat hai

    mere sine mein soz-e-arzu kis ki inayat hai

    subu mera mai-e-nab-e-subu kis ki inayat hai

    jahan-e-KHak-za mein ek zarra hai wajud apna

    magar zarre mein zauq-e-justuju kis ki inayat hai

    gareban kahkashan ka tham leti hai nazar apni

    junun-o-shauq shor-e-ha-o-hu kis ki inayat hai

    ye mana baghban main hun ye sehn-e-gulsitan mera

    magar phulon mein josh-e-rang-o-bu kis ki inayat hai

    musawwir hun ye mere rang hain ye mu-qalam mera

    magar taswir mein rang-e-numu kis ki inayat hai

    ye mizrab-o-surud-o-saz-e-mahfil sab mere lekin

    mughanni ka dil-e-ahang-ju kis ki inayat hai

    ye mumkin hai nigah-e-ishq se pinhan rahe jalwa

    magar ehsas-e-zulf-e-mushk-bu kis ki inayat hai

    ye meri bandish-e-alfaz ye meri ghazal 'salik'

    mere sheron mein pinhan guftugu kis ki inayat hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now