Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere wajud ki duniya mein hai asar kis ka

Hakeem Manzoor

mere wajud ki duniya mein hai asar kis ka

Hakeem Manzoor

MORE BYHakeem Manzoor

    mire vajūd duniyā meñ hai asar kis

    maiñ jāntā nahīñ huuñ maiñ ham-safar kis

    na mujh pe tanz karo dosto ki be-ghar huuñ

    tumhīñ kaho ki hai tum meñ se apnā ghar kis

    is ik savāl sūraj bhī de sakā na javāb

    maiñ sirf saaya nahīñ ruup huuñ magar kis

    jo mere paas thā sab luuT le gayā koī

    kivāḌ band rakhūñ ab mujhe hai Dar kis

    har ek shaḳhs rahā mahv-e-shaġhl-e-sañg-zanī

    kise paḌī thī ki dekhe uḌā hai sar kis

    ye aur baat sazā us ko mil ga.ī varna

    chalā hai zor dil-e-nā-subūr par kis

    tumhārī baat alag hai vagarna ai 'manzūr'

    bachā hai ab bhī savād-e-dil-o-nazar kis

    mere wajud ki duniya mein hai asar kis ka

    main jaanta hi nahin hun main ham-safar kis ka

    na mujh pe tanz karo dosto ki be-ghar hun

    tumhin kaho ki hai tum mein se apna ghar kis ka

    is ek sawal ka suraj bhi de saka na jawab

    main sirf saya nahin rup hun magar kis ka

    jo mere pas tha sab luT le gaya koi

    kiwaD band rakhun ab mujhe hai Dar kis ka

    har ek shaKHs raha mahw-e-shaghl-e-sang-zani

    kise paDi thi ki dekhe uDa hai sar kis ka

    ye aur baat saza us ko mil gai warna

    chala hai zor dil-e-na-subur par kis ka

    tumhaari baat alag hai wagarna ai 'manzur'

    bacha hai ab bhi sawad-e-dil-o-nazar kis ka

    Source:

    Natamam (Pg. 38)

    • Author: Hakeem Manzoor
      • Edition: 1977
      • Publisher: Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-110060
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now