Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri aankhen gawah-e-talat-e-atish huin jal kar

Aziz Hamid Madni

meri aankhen gawah-e-talat-e-atish huin jal kar

Aziz Hamid Madni

MORE BYAziz Hamid Madni

    mirī āñkheñ gavāh-e-tal.at-e-ātish huiiñ jal kar

    pahāḌoñ par chamaktī bijliyāñ niklīñ udhar chal kar

    zabāñ zā.iqa bigḌā huā hai mai pilā saaqī

    sumūm-e-dasht ne sab rakh diye kām-o-dahan tal kar

    rumūz-e-zindagī sīkhe haiñ mere shauq-e-vahshat ne

    ka.ī sāhib-nazar zindāniyoñ ke biich meñ pal kar

    ye kis zauq-e-numū ko aaj dohrāne bahār aa.ī

    lahū ham sarfaroshoñ jabīn-e-nāz par mal kar

    vo jin ḳhū se kal ik abr-e-tar ḳhvāb-e-mohabbat thā

    unhī ko rakh diyā phir kyuuñ khule hāthoñ se mal-dal kar

    ruḳh-e-daurāñ pe hai ik niil karb-e-taġhayyur se

    varaq tāñbe kho detā hai rangat aag meñ gal kar

    harī sham.eñ añgūroñ beloñ meñ jo chamkīñ thiiñ

    vahī ab surḳh rañgoñ meñ jalī haiñ jaam meñ Dhal kar

    vahī ik rū-e-ātish-rañg hai halkī dastak hai

    samundar paar mauj-e-havā jaatī nahīñ Tal kar

    jab aa.ī sā.at-e-be-tāb terī be-libāsī

    to ā.īne meñ jitne zāviye the rah ga.e jal kar

    mahak meñ zahr ik lahr bhī ḳhvābīda rahtī hai

    zideñ aapas meñ Takrātī haiñ farq-e-mār-o-sandal kar

    shab-e-afsāna-ḳhvāñ to shahr āḳhir huī 'madnī'

    kahāñ jaate ho tum nikle hue yuuñ niiñd meñ chal kar

    meri aankhen gawah-e-talat-e-atish huin jal kar

    pahaDon par chamakti bijliyan niklin udhar chal kar

    zaban ka zaiqa bigDa hua hai mai pila saqi

    sumum-e-dasht ne sab rakh diye kaam-o-dahan tal kar

    rumuz-e-zindagi sikhe hain mere shauq-e-wahshat ne

    kai sahib-nazar zindaniyon ke bich mein pal kar

    ye kis zauq-e-numu ko aaj dohrane bahaar aai

    lahu hum sarfaroshon ka jabin-e-naz par mal kar

    wo jin ki KHu se kal ek abr-e-tar KHwab-e-mohabbat tha

    unhi ko rakh diya phir kyun khule hathon se mal-dal kar

    ruKH-e-dauran pe hai ek nil sa karb-e-taghayyur se

    waraq tanbe ka kho deta hai rangat aag mein gal kar

    hari shamen si anguron ki belon mein jo chamkin thin

    wahi ab surKH rangon mein jali hain jam mein Dhal kar

    wahi ek ru-e-atish-rang hai halki si dastak hai

    samundar par ki mauj-e-hawa jati nahin Tal kar

    jab aai saat-e-be-tab teri be-libasi ki

    to aaine mein jitne zawiye the rah gae jal kar

    mahak mein zahr ki ek lahr bhi KHwabida rahti hai

    ziden aapas mein Takraati hain farq-e-mar-o-sandal kar

    shab-e-afsana-KHwan to shahr ki aaKHir hui 'madni'

    kahan jate ho tum nikle hue yun nind mein chal kar

    Source:

    Kulliyat-e-Aziz Hamid Madni (Pg. 470)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now