Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri aankhon mein behad pyar tha aur tum kahin gum the

Shahana Shirin

meri aankhon mein behad pyar tha aur tum kahin gum the

Shahana Shirin

MORE BYShahana Shirin

    mirī āñkhoñ meñ behad pyaar thā aur tum kahīñ gum the

    laboñ par shola-e-izhār thā aur tum kahīñ gum the

    mire siine meñ tūfān-e-mohabbat raqs kartā thā

    jigar meñ ishq āzār thā aur tum kahīñ gum the

    tumhārā saath saare duniyā vāloñ ko khaTaktā thā

    hamāre dil meñ ġham baar thā aur tum kahīñ gum the

    ġhazal sūratoñ meñ naam terā jab piroyā thā

    ye merā dil bhī lāla-zār thā aur tum kahīñ gum the

    pighaltī rahī hai shaam rafta rafta āñkhoñ meñ

    jigar meñ tīrgī vaar thā aur tum kahīñ gum the

    taḌap uThī hai 'shīrīñ' ruuh merī be-qarārī se

    mire dil meñ tumhārā pyaar thā aur tum kahīñ gum the

    meri aankhon mein behad pyar tha aur tum kahin gum the

    labon par shola-e-izhaar tha aur tum kahin gum the

    mere sine mein tufan-e-mohabbat raqs karta tha

    jigar mein ishq ka aazar tha aur tum kahin gum the

    tumhaara sath sare duniya walon ko khaTakta tha

    hamare dil mein gham ka bar tha aur tum kahin gum the

    ghazal ki suraton mein nam tera jab piroya tha

    ye mera dil bhi lala-zar tha aur tum kahin gum the

    pighalti ja rahi hai sham rafta rafta aankhon mein

    jigar mein tirgi ka war tha aur tum kahin gum the

    taDap uThi hai 'shirin' ruh meri be-qarari se

    mere dil mein tumhaara pyar tha aur tum kahin gum the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now