Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri aankhon mein jab bhi tere manzar baiTh jate hain

Mukesh Aalam

meri aankhon mein jab bhi tere manzar baiTh jate hain

Mukesh Aalam

MORE BYMukesh Aalam

    mirī āñkhoñ meñ jab bhī tere manzar baiTh jaate haiñ

    to in ḳhālī safīnoñ meñ samundar baiTh jaate haiñ

    kahā kis ne Thikāne par qalandar baiTh jaate haiñ

    ba-zāhir phirte rahte haiñ par andar baiTh jaate haiñ

    mujhe duniyā ke ta.anoñ par kabhī ġhussa nahīñ aatā

    nadī tah meñ ke saare patthar baiTh jaate haiñ

    yuuñ uTh uTh kar hamārā bolnā dikhlā.e mahrūmī

    vo jin ko yaar ho jaa.e mayassar baiTh jaate haiñ

    hamīñ ko shaam ne tanhā rakhā varna ye vo pal haiñ

    ki din aur raat bhī milne ufuq par baiTh jaate haiñ

    ai āvāra ḳhayālo ashk-bārī meñ to ruk jaao

    parinde bhī to bārish meñ simaT kar baiTh jaate haiñ

    hamārā aur un rabt hai bas hāzirī tak

    vo rasman naam lete haiñ ham uTh kar baiTh jaate haiñ

    baḌe charche haiñ 'ālam' aap ḳhāna-ḳharābī ke

    ḳhudā shukr hai maqte meñ aa kar baiTh jaate haiñ

    meri aankhon mein jab bhi tere manzar baiTh jate hain

    to in KHali safinon mein samundar baiTh jate hain

    kaha kis ne Thikane par qalandar baiTh jate hain

    ba-zahir phirte rahte hain par andar baiTh jate hain

    mujhe duniya ke tanon par kabhi ghussa nahin aata

    nadi ki tah mein ja ke sare patthar baiTh jate hain

    yun uTh uTh kar hamara bolna dikhlae mahrumi

    wo jin ko yar ho jae mayassar baiTh jate hain

    hamin ko sham ne tanha rakha warna ye wo pal hain

    ki din aur raat bhi milne ufuq par baiTh jate hain

    ai aawara KHayalo ashk-bari mein to ruk jao

    parinde bhi to barish mein simaT kar baiTh jate hain

    hamara aur un ka rabt hai bas haziri tak hi

    wo rasman nam lete hain hum uTh kar baiTh jate hain

    baDe charche hain 'alam' aap ki KHana-KHarabi ke

    KHuda ka shukr hai maqte mein aa kar baiTh jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now