Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri baat sun mere ham-nafas mere sath ab tu wafa na kar

Prabhat Kumar Sarwar Lakhnavi

meri baat sun mere ham-nafas mere sath ab tu wafa na kar

Prabhat Kumar Sarwar Lakhnavi

MORE BYPrabhat Kumar Sarwar Lakhnavi

    mirī baat sun mire ham-nafas mire saath ab vafā na kar

    maiñ charāġh huuñ jo bujhā huā mujhe raushnī duā na kar

    maiñ vo ashk huuñ jo girā nahīñ maiñ vo dard huuñ jo huā nahīñ

    mirā zarf mujh se hai kah rahā mire zaḳhm davā na kar

    tirī aarzū meñ sañvar gayā tirī justujū meñ bikhar gayā

    tirī sāzishoñ meñ jo raaz hai kabhī bhī us ko kahā na kar

    mirā ham-safar bhī rahā hai mirī har ġhazal meñ chhupā hai

    mirī dhaḌkanoñ se aa ke mil mujhe rahguzar meñ milā na kar

    ye samajh le 'sarvar'-e-ġham-zada vo rahīm hai vo karīm hai

    jo likhā hai us ne nasīb meñ kabhī us shikva gila na kar

    meri baat sun mere ham-nafas mere sath ab tu wafa na kar

    main charagh hun jo bujha hua mujhe raushni ki dua na kar

    main wo ashk hun jo gira nahin main wo dard hun jo hua nahin

    mera zarf mujh se hai kah raha mere zaKHm ki tu dawa na kar

    teri aarzu mein sanwar gaya teri justuju mein bikhar gaya

    teri sazishon mein jo raaz hai tu kabhi bhi us ko kaha na kar

    mera ham-safar bhi raha hai tu meri har ghazal mein chhupa hai tu

    meri dhaDkanon se tu aa ke mil mujhe rahguzar mein mila na kar

    ye samajh le 'sarwar'-e-gham-zada wo rahim hai wo karim hai

    jo likha hai us ne nasib mein kabhi us ka shikwa gila na kar

    Source:

    Dard Ki Parchhaiyan (Pg. 33)

    • Author: Prabhat Kumar Sarwar Lakhnavi
      • Publisher: Unknown Organization
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now