Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri chah mein mere ishq mein tu kabhi kisi se laDa nahin

Javed Jamil

meri chah mein mere ishq mein tu kabhi kisi se laDa nahin

Javed Jamil

MORE BYJaved Jamil

    mirī chaah meñ mire ishq meñ kabhī kisī se laḌā nahīñ

    isī bhuul ye azaab hai mirā nahīñ maiñ tirā nahīñ

    thā gulāb maiñ thī ye aarzū tire gesuoñ meñ khilūñ kabhī

    nahīñ khil sakā to ye jaan le ye tirī hai merī ḳhatā nahīñ

    tirī yaad mujh se bahut laḌī mire añg añg meñ zaḳhm hai

    maiñ taḌaptā rahtā huuñ dard se tujhe fikr merī zarā nahīñ

    mirā dil to tere paas hai ise khañgāl ke dekh le

    vahāñ hai har ik taraf vahāñ kuchh bhī tere sivā nahīñ

    tire ishq se mujhe kyā milā mirī zindagī huī maut

    mujhe ab talāsh sukūñ hai mujhe ab junūn-e-hinā nahīñ

    mujhe aisī zaat se ishq hai jo ho mehrbān to maut kab

    hai fanā.iyat meñ nihāñ baqā hai baqā agar to fanā nahīñ

    meri chah mein mere ishq mein tu kabhi kisi se laDa nahin

    isi bhul ka ye azab hai tu mera nahin main tera nahin

    tha gulab main thi ye aarzu tere gesuon mein khilun kabhi

    nahin khil saka to ye jaan le ye teri hai meri KHata nahin

    teri yaad mujh se bahut laDi mere ang ang mein zaKHm hai

    main taDapta rahta hun dard se tujhe fikr meri zara nahin

    mera dil to tere hi pas hai tu ise khangal ke dekh le

    wahan tu hi tu hai har ek taraf wahan kuchh bhi tere siwa nahin

    tere ishq se mujhe kya mila meri zindagi hui maut si

    mujhe ab talash sukun ki hai mujhe ab junun-e-hina nahin

    mujhe aisi zat se ishq hai jo ho mehrban to maut kab

    hai fanaiyat mein nihan baqa hai baqa agar to fana nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now