meri duniya ko sapna kar diya hai
mirī duniyā ko sapnā kar diyā hai
mire sapne ko duniyā kar diyā hai
mire ashkoñ ne jangal se guzar kar
musāfir dekh rasta kar diyā hai
huā jaatā nahīñ kamre meñ dāḳhil
agarche us ne dar vā kar diyā hai
kisī bādal ne be-mausam baras kar
dayār-e-dil meñ sabza kar diyā hai
kisī kī yaad ne ik sham' rakh kar
in āñkhoñ ko sitāra kar diyā hai
ab āsānī se mar sakta huuñ 'sānī'
kisī kā ḳhvāb puurā kar diyā hai
meri duniya ko sapna kar diya hai
mere sapne ko duniya kar diya hai
mere ashkon ne jangal se guzar kar
musafir dekh rasta kar diya hai
hua jata nahin kamre mein daKHil
agarche us ne dar wa kar diya hai
kisi baadal ne be-mausam baras kar
dayar-e-dil mein sabza kar diya hai
kisi ki yaad ne ek sham' rakh kar
in aankhon ko sitara kar diya hai
ab aasani se mar sakta hun 'sani'
kisi ka KHwab pura kar diya hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 32)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.