meri ghazlon ki qimat kya lagaoge
mirī ġhazloñ kī qīmat kyā lagāoge
tulā meñ tum na in ko tol pāoge
suḳhan-ras meñ mirī tum Duub jāoge
sunoge sun ke tum bhī gungunāoge
havā meñ ghul ga.ī hai 'ishq kī ḳhush-bū
mohabbat kī mahak se bach na pāoge
tumhārā thā tumhārā hī rahūñgā maiñ
mire naġhmoñ meñ tum hī muskurāoge
mohabbat saaf āñkhoñ meñ jhalaktī hai
is ā.īne se tum kyā kyā chhupāoge
mujhe bhī khul ke thoḌā saañs lene do
havā se 'dīp' ko kitnā bachāoge
meri ghazlon ki qimat kya lagaoge
tula mein tum na in ko tol paoge
suKHan-ras mein meri tum Dub jaoge
sunoge sun ke tum bhi gungunaoge
hawa mein ghul gai hai 'ishq ki KHush-bu
mohabbat ki mahak se bach na paoge
tumhaara tha tumhaara hi rahunga main
mere naghmon mein tum hi muskuraoge
mohabbat saf aankhon mein jhalakti hai
is aaine se tum kya kya chhupaoge
mujhe bhi khul ke thoDa sans lene do
hawa se 'dip' ko kitna bachaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.