Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri hi samt baDhi barq-e-be-aman ki tarah

Wakeel Bhopali

meri hi samt baDhi barq-e-be-aman ki tarah

Wakeel Bhopali

MORE BYWakeel Bhopali

    mirī samt baḌhī barq-e-be-amāñ tarah

    na.ī bahār ne luuTā mujhe ḳhizāñ tarah

    hamāre qāmat-e-bālā kyā ḳhizāñ tarah

    zamīñ pe rahte haiñ ham log āsmāñ tarah

    qafas ko chhoḌ deñ sayyād ye ḳhvāhish hai

    qafas meñ rahne lage ham jo āshiyāñ tarah

    kahāñ rahegā tumhāre ġhurūr aalam

    fuġhāñ laboñ pe agar aa ga.ī fuġhāñ tarah

    tumhāre husn ra.anā.iyāñ hamīñ se haiñ

    miTāo ham ko na tum harf-e-dāstāñ tarah

    ab aur pās-e-vafā is se baḌh ke kyā hogā

    zabān rakhte hue ham haiñ be-zabāñ tarah

    talāsh-e-manzil-e-maqsad se baaz ā.eñge

    ubhar ke baiTheñge ham gard-e-kārvāñ tarah

    chaman meñ barq qissa tamām ho jaa.e

    ham āshiyāñ ko banā.eñ jo āshiyāñ tarah

    karūñ adā maiñ ināyat shukriya kaise

    baḌe ḳhulūs se milte ho rāz-dāñ tarah

    pilā sako to pilāo ḳhulūs-o-rabt ke jaam

    jo mil sako to milo ham se meherbāñ tarah

    'vakīl' ek qadam apnā haT nahīñ saktā

    jo imtihān-e-mohabbat ho imtihāñ tarah

    meri hi samt baDhi barq-e-be-aman ki tarah

    nai bahaar ne luTa mujhe KHizan ki tarah

    hamare qamat-e-baala ka kya KHizan ki tarah

    zamin pe rahte hain hum log aasman ki tarah

    qafas ko chhoD den sayyaad ki ye KHwahish hai

    qafas mein rahne lage hum jo aashiyan ki tarah

    kahan rahega tumhaare ghurur ka aalam

    fughan labon pe agar aa gai fughan ki tarah

    tumhaare husn ki ranaiyan hamin se hain

    miTao hum ko na tum harf-e-dastan ki tarah

    ab aur pas-e-wafa is se baDh ke kya hoga

    zaban rakhte hue hum hain be-zaban ki tarah

    talash-e-manzil-e-maqsad se baz aaenge

    ubhar ke baiThenge hum gard-e-karwan ki tarah

    chaman mein barq ka qissa tamam ho jae

    hum aashiyan ko banaen jo aashiyan ki tarah

    karun ada main inayat ka shukriya kaise

    baDe KHulus se milte ho raaz-dan ki tarah

    pila sako to pilao KHulus-o-rabt ke jam

    jo mil sako to milo hum se meherban ki tarah

    'wakil' ek qadam apna haT nahin sakta

    jo imtihan-e-mohabbat ho imtihan ki tarah

    Source:

    Shua-e-Fikr (Pg. 65)

    • Author: Wakeel Bhopali
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now