Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri jaan par ye patthar is liye bhaari ziyaada hai

Nadir Areez

meri jaan par ye patthar is liye bhaari ziyaada hai

Nadir Areez

MORE BYNadir Areez

    mirī jaañ par ye patthar is liye bhārī ziyāda hai

    mohabbat kam tire lahje meñ ġham-ḳhvārī ziyāda hai

    ye sab se muḳhtasar rasta hai is vaadī meñ jaane

    magar is par safar karne meñ dushvārī ziyāda hai

    ham apnī raah meñ dīvār ban jaate haiñ ḳhud aksar

    hamārā mas.ala ye hai ki ḳhuddārī ziyāda hai

    mohabbat ke qarīb aayā to andāza huā mujh ko

    ki dilkash ghar se ghar chaar dīvārī ziyāda hai

    abhī ye bahs 'nādir' vaqt chaukhaT pe rakhte haiñ

    ye kal dekheñge kis kaam meyārī ziyāda hai

    meri jaan par ye patthar is liye bhaari ziyaada hai

    mohabbat kam tere lahje mein gham-KHwari ziyaada hai

    ye sab se muKHtasar rasta hai is wadi mein jaane ka

    magar is par safar karne mein dushwari ziyaada hai

    hum apni rah mein diwar ban jate hain KHud aksar

    hamara masala ye hai ki KHuddari ziyaada hai

    mohabbat ke qarib aaya to andaza hua mujh ko

    ki dilkash ghar se ghar ki chaar diwari ziyaada hai

    abhi ye bahs 'nadir' waqt ki chaukhaT pe rakhte hain

    ye kal dekhenge kis ka kaam meyari ziyaada hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now