Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri kahani teri kahani se muKHtalif hai

Azhar Abbas

meri kahani teri kahani se muKHtalif hai

Azhar Abbas

MORE BYAzhar Abbas

    mirī kahānī tirī kahānī se muḳhtalif hai

    ki jaise āñkhoñ pānī, paanī se muḳhtalif hai

    vo ek lamha jo dastaras meñ nahīñ rahā hai

    vo zindagī bhar rā.igānī se muḳhtalif hai

    ye jhiil āñkheñ hameñ jo paiġhām de rahī haiñ

    vo tere hoñToñ tarjumānī se muḳhtalif hai

    tirī judā.ī hādsa aisā hādsa hai

    jo har haqīqat se har kahānī se muḳhtalif hai

    maiñ dasht-e-vahshat ret huuñ aur ek dariyā

    mirī ravānī tirī ravānī se muḳhtalif hai

    meri kahani teri kahani se muKHtalif hai

    ki jaise aankhon ka pani, pani se muKHtalif hai

    wo ek lamha jo dastaras mein nahin raha hai

    wo zindagi bhar ki raigani se muKHtalif hai

    ye jhil aankhen hamein jo paigham de rahi hain

    wo tere honTon ki tarjumani se muKHtalif hai

    teri judai ka hadsa aisa hadsa hai

    jo har haqiqat se har kahani se muKHtalif hai

    main dasht-e-wahshat ki ret hun aur tu ek dariya

    meri rawani teri rawani se muKHtalif hai

    Source:

    Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 39)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now