Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri mohabbat ki be-KHudi ko talash-e-haqq-e-jalal dena

Iffat abbas

meri mohabbat ki be-KHudi ko talash-e-haqq-e-jalal dena

Iffat abbas

MORE BYIffat abbas

    mirī mohabbat be-ḳhudī ko talāsh-e-haqq-e-jalāl denā

    kabhī jo pābanda-e-sitam huuñ mujhe bhī azm-e-maqāl denā

    mohabbatoñ ye shoḳhiyāñ haiñ ye e'timād-e-vafā hai merā

    bigaḌ ke fihrist-e-āshiqāñ se kahīñ na mujh ko nikāl denā

    rah-e-mohabbat saḳhtiyoñ se jo rañg-e-ruḳh thā jhulas chukā hai

    tumhārī ulfat pe mar rahe haiñ mirā bhī chehrā ujaal denā

    tumhārā sab ham ko jānte haiñ to apnī izzat laaj rakh ke

    hamārī hastī ke aa.ine ko koī hunar kuchh kamāl denā

    tumhī to ho miir mai-kade ke tumhī ho sāqī-e-tishna-kāmī

    ham apnā sāġhar liye khaḌe haiñ zarā is meñ bhī Dhaal denā

    sunī haiñ fayyāziyāñ tumhārī tumhāre mastoñ meñ hai ye shohrat

    hai mere saaqī ye vatīra ki jaam bhar kar ubaal denā

    pasand haiñ tum ko bhīgī āñkheñ larazte lab aur udaas chehre

    visāl jab irāda karnā mujhe bhī rañg-e-malāl denā

    meri mohabbat ki be-KHudi ko talash-e-haqq-e-jalal dena

    kabhi jo pabanda-e-sitam hun mujhe bhi azm-e-maqal dena

    mohabbaton ki ye shoKHiyan hain ye e'timad-e-wafa hai mera

    bigaD ke fihrist-e-ashiqan se kahin na mujh ko nikal dena

    rah-e-mohabbat ki saKHtiyon se jo rang-e-ruKH tha jhulas chuka hai

    tumhaari ulfat pe mar rahe hain mera bhi chehra ujal dena

    tumhaara sab hum ko jaante hain to apni izzat ki laj rakh ke

    hamari hasti ke aaine ko koi hunar kuchh kamal dena

    tumhi to ho mir mai-kade ke tumhi ho saqi-e-tishna-kaami

    hum apna saghar liye khaDe hain zara si is mein bhi Dhaal dena

    suni hain fayyaziyan tumhaari tumhaare maston mein hai ye shohrat

    hai mere saqi ka ye watira ki jam bhar kar ubaal dena

    pasand hain tum ko bhigi aankhen larazte lab aur udas chehre

    visal ka jab irada karna mujhe bhi rang-e-malal dena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now