Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri nazar ki tarah dil parind ojhal hai

Shahid Jameel

meri nazar ki tarah dil parind ojhal hai

Shahid Jameel

MORE BYShahid Jameel

    mirī nazar ki tarah dil parind ojhal hai

    har ek ḳhvāb hāsil parind ojhal hai

    shajar jo kah na sake āsmāñ vahī sun le

    yaqīñ hai vahm manzil parind ojhal hai

    shafaq shafaq vahī surḳhī uḌaan ta.abīr

    ufuq ufuq vahī mahfil parind ojhal hai

    sadā meñ samt nahīñ bāzgasht lā-mahdūd

    safar shart meñ shāmil parind ojhal hai

    bhañvar kaam jazīre ko varġhalānā thā

    dhuāñ dhuāñ lab-e-sāhil parind ojhal hai

    meri nazar ki tarah dil parind ojhal hai

    har ek KHwab ka hasil parind ojhal hai

    shajar jo kah na sake aasman wahi sun le

    yaqin hai wahm ki manzil parind ojhal hai

    shafaq shafaq wahi surKHi uDan ki tabir

    ufuq ufuq wahi mahfil parind ojhal hai

    sada mein samt nahin bazgasht la-mahdud

    safar ki shart mein shamil parind ojhal hai

    bhanwar ka kaam jazire ko warghalana tha

    dhuan dhuan lab-e-sahil parind ojhal hai

    Source:

    Aiwan (Pg. 56)

    • Author: Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
      • Edition: 1998
      • Publisher: Nirali Duniya
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now