Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri nigah ka paigham be-sada jo hua

Akhtar Hoshiyarpuri

meri nigah ka paigham be-sada jo hua

Akhtar Hoshiyarpuri

MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri

    mirī nigāh paiġhām be-sadā jo huā

    vo merī baat sune kyuuñ maiñ be-navā jo huā

    savād-e-shahr meñ milte haiñ log sañg-ba-dast

    savād-e-shahr se sahrā ko rāsta jo huā

    milā na to ġham-e-zindagī ke dīvāne

    idhar lauT paḌe maiñ terā patā jo huā

    tamām raat maiñ suntā rahā tirī āvāz

    tirā ḳhayāl mujh ko tirī sadā jo huā

    havā-e-gul bhī pareshāñ qabā-e-gul bhī chaak

    junūñ fasl-e-bahārāñ se rābta jo huā

    meri nigah ka paigham be-sada jo hua

    wo meri baat sune kyun main be-nawa jo hua

    sawad-e-shahr mein milte hain log sang-ba-dast

    sawad-e-shahr se sahra ko rasta jo hua

    mila na tu to gham-e-zindagi ke diwane

    idhar hi lauT paDe main tera pata jo hua

    tamam raat main sunta raha teri aawaz

    tera KHayal hi mujh ko teri sada jo hua

    hawa-e-gul bhi pareshan qaba-e-gul bhi chaak

    junun ka fasl-e-bahaaran se rabta jo hua

    Source:

    Range-e-Gazal (Pg. 117)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now