meri sari duaon ka sila ban kar mile ho tum
mirī saarī du'āoñ kā sila ban kar mile ho tum
akele ho magar ik qāfila ban kar mile ho tum
zamāne se mujhe ab āj-kal shikvā nahīñ rahtā
bure par jo hai bhārī vo bhalā ban kar mile ho tum
baḌā hai merī shohrat se mirī dīvāngī kā qad
bahut hī ḳhūb-sūrat sī ḳhatā ban kar mile ho tum
zamāne se to tum shāyad kabhī bhī kah nahīñ paao
kabhī mujh se hī kah do nā ki kyā ban kar mile ho tum
tumhārī justujū meñ gum rahā kartī thī maiñ ab tak
mire mahbūb ab merā pata ban kar mile ho tum
meri sari du'aon ka sila ban kar mile ho tum
akele ho magar ek qafila ban kar mile ho tum
zamane se mujhe ab aaj-kal shikwa nahin rahta
bure par jo hai bhaari wo bhala ban kar mile ho tum
baDa hai meri shohrat se meri diwangi ka qad
bahut hi KHub-surat si KHata ban kar mile ho tum
zamane se to tum shayad kabhi bhi kah nahin pao
kabhi mujh se hi kah do na ki kya ban kar mile ho tum
tumhaari justuju mein gum raha karti thi main ab tak
mere mahbub ab mera pata ban kar mile ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.