Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri shaki hai KHud meri fughan tak

Jalal Lakhnavi

meri shaki hai KHud meri fughan tak

Jalal Lakhnavi

MORE BYJalal Lakhnavi

    mirī shākī hai ḳhud merī fuġhāñ tak

    ki taalū se nahīñ lagtī zabāñ tak

    koī hasrat le aa.e manā kar

    mire rūThe hue dil ko yahāñ tak

    jagah kyā dard bhī chhīn legā

    jigar daaġh phailegā kahāñ tak

    asar nāloñ meñ jo thā vo bhī khoyā

    bahut pachhtā.e kar āsmāñ tak

    falak tere jigar ke daaġh haiñ ham

    miTā.e miTānā hai jahāñ tak

    vo kyā pahlū meñ baiThe uTh ga.e kyā

    na liiñ jaldī meñ do ik chuTkiyāñ tak

    koī māñge to aa kar muntazir hai

    liye thoḌī jaan ik nīm-jāñ tak

    uThāne se ajal ke maiñ na uThtā

    vo aate to kabhī mujh nā-tavāñ tak

    'jalāl'-e-nāla-kash chupkā na hogā

    vo de kar dekh leñ muñh meñ zabāñ tak

    meri shaki hai KHud meri fughan tak

    ki talu se nahin lagti zaban tak

    koi hasrat hi le aae mana kar

    mere ruThe hue dil ko yahan tak

    jagah kya dard ki bhi chhin lega

    jigar ka dagh phailega kahan tak

    asar nalon mein jo tha wo bhi khoya

    bahut pachhtae ja kar aasman tak

    falak tere jigar ke dagh hain hum

    miTae ja miTana hai jahan tak

    wo kya pahlu mein baiThe uTh gae kya

    na lin jaldi mein do ek chuTkiyan tak

    koi mange to aa kar muntazir hai

    liye thoDi si jaan ek nim-jaan tak

    uThane se ajal ke main na uThta

    wo aate to kabhi mujh na-tawan tak

    'jalal'-e-nala-kash chupka na hoga

    wo de kar dekh len munh mein zaban tak

    Source:

    Intekhab-e-kalam  Miir Zamin Ali Jalal (Pg. 45)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now