Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri wafaon ka mujhe wo yun hisab de gaya

Kashif Shakeel

meri wafaon ka mujhe wo yun hisab de gaya

Kashif Shakeel

MORE BYKashif Shakeel

    mirī vafāoñ mujhe vo yuuñ hisāb de gayā

    mire samundaroñ ko chhīn kar sarāb de gayā

    tujhe ḳhabar hai terā baap kitnā bevaqūf thā

    ki jhurriyāñ ḳharīd kar tujhe shabāb de gayā

    anā-parast maiñ bhī thā magar ye ishq to thā

    ki tujh ko ḳhaar ke bajā.e maiñ gulāb de gayā

    visāl aur kamāl ye silsila rukā huā

    vo nār-e-intizār mujhe azaab de gayā

    kitāb-e-zīst ke sunahre baab ko miTā diyā

    mujhe tavīl hijratoñ ik nisāb de gayā

    maiñ ishq zabān meñ kahūñ to kyā kahūñ use

    mirā sukūn chhīn kar jo iztirāb de gayā

    tirā ilaaj 'kāshif' ab sivā.e sabr kuchh nahīñ

    mire pate pe andalīb ye javāb de gayā

    meri wafaon ka mujhe wo yun hisab de gaya

    mere samundaron ko chhin kar sarab de gaya

    tujhe KHabar hai tera bap kitna bewaquf tha

    ki jhurriyan KHarid kar tujhe shabab de gaya

    ana-parast main bhi tha magar ye ishq hi to tha

    ki tujh ko KHar ke bajae main gulab de gaya

    visal aur kamal ka ye silsila ruka hua

    wo nar-e-intizar ka mujhe azab de gaya

    kitab-e-zist ke sunahre bab ko miTa diya

    mujhe tawil hijraton ka ek nisab de gaya

    main ishq ki zaban mein kahun to kya kahun use

    mera sukun chhin kar jo iztirab de gaya

    tera ilaj 'kashif' ab siwae sabr kuchh nahin

    mere pate pe andalib ye jawab de gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now