be-qarari si be-qarari hai
be-qarārī sī be-qarārī hai
ab yahī zindagī hamārī hai
maiñ ne us ko pichhāḌnā hai miyāñ
merī saa.e se jang jaarī hai
ishq karnā bhī lāzmī hai magar
mujh pe ghar kī bhī zimmedārī hai
pyaar hai mujh ko zindagī se bahut
aur tū zindagī se pyārī hai
maiñ kabhī ḳhud ko chhoḌtā hī nahīñ
merī ḳhud se alag sī yaarī hai
shahr kā shahr so gayā 'tābish'
ab mire jāgne kī baarī hai
be-qarari si be-qarari hai
ab yahi zindagi hamari hai
main ne us ko pichhaDna hai miyan
meri sae se jang jari hai
ishq karna bhi lazmi hai magar
mujh pe ghar ki bhi zimmedari hai
pyar hai mujh ko zindagi se bahut
aur tu zindagi se pyari hai
main kabhi KHud ko chhoDta hi nahin
meri KHud se alag si yari hai
shahr ka shahr so gaya 'tabish'
ab mere jagne ki bari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.