misl-e-mahtab khule jab wo ikahra chehra
misl-e-mahtāb khule jab vo ikahrā chehra
dekhne vāloñ kā ho jaa.e sunahrā chehra
jism kī khīñchūñ lakīreñ to dhuāñ uThtā hai
us kā kāġhaz pe banā paatā huuñ chehra chehra
niilī āñkhoñ se dabe halqe gulābī ruḳhsār
us kā kyā zikr kareñ yaar vo Thahrā chehra
ahl-e-dānish kī safoñ meñ koī ham sā bhī na thā
kaun paḌh paatā bhalā us kā vo gahrā chehra
ai mire dost mire saath tirī yādoñ kī
ret itnī hai huā jaatā hai sahrā chehra
misl-e-mahtab khule jab wo ikahra chehra
dekhne walon ka ho jae sunahra chehra
jism ki khinchun lakiren to dhuan uThta hai
us ka kaghaz pe bana pata hun chehra chehra
nili aankhon se dabe halqe gulabi ruKHsar
us ka kya zikr karen yar wo Thahra chehra
ahl-e-danish ki safon mein koi hum sa bhi na tha
kaun paDh pata bhala us ka wo gahra chehra
ai mere dost mere sath teri yaadon ki
ret itni hai hua jata hai sahra chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.