Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

misl-e-nawak jo nigahon se ishaara nikla

Mahwar Sirsivi

misl-e-nawak jo nigahon se ishaara nikla

Mahwar Sirsivi

MORE BYMahwar Sirsivi

    misl-e-nāvak jo nigāhoñ se ishāra niklā

    dil dhaḌaktā huā pahlū se hamārā niklā

    ‘āriz-e-yār pe zulfoñ ke bikhar jaane se

    chāñd Duubā huā badlī se dubāra niklā

    hāsil-e-sahrā-navardī hai hamārī vahshat

    ḳhaak chhānī to muqaddar sitāra niklā

    be-tuke jaam pilā.e jo mujhe saaqī ne

    zabt bāñdh khulā naam tumhārā niklā

    tai-shuda saal mayassar thī javānī ham ko

    kuchh baras Thiik so baaqī meñ ḳhasāra niklā

    ham bhī sūkhe hue tālāb hissa nikle

    vo bhī pyāsā kisī dariyā kinārā niklā

    ab to allāh se shikva bhī nahīñ kar sakte

    dil bhī kam-baḳht taraf-dār tumhārā niklā

    laakh behtar thā ki siine se lagāte patthar

    phuul ke bhes meñ ātish sharāra niklā

    'mehvar'-e-sabr pe ik sabr aayat paḌh kar

    khīñch kar jism se jaañ jaan se pyārā niklā

    misl-e-nawak jo nigahon se ishaara nikla

    dil dhaDakta hua pahlu se hamara nikla

    ‘ariz-e-yar pe zulfon ke bikhar jaane se

    chand Duba hua badli se dubara nikla

    hasil-e-sahra-nawardi hai hamari wahshat

    KHak chhani to muqaddar ka sitara nikla

    be-tuke jam pilae jo mujhe saqi ne

    zabt ka bandh khula nam tumhaara nikla

    tai-shuda sal mayassar thi jawani hum ko

    kuchh baras Thik so baqi mein KHasara nikla

    hum bhi sukhe hue talab ka hissa nikle

    wo bhi pyasa kisi dariya ka kinara nikla

    ab to allah se shikwa bhi nahin kar sakte

    dil bhi kam-baKHt taraf-dar tumhaara nikla

    lakh behtar tha ki sine se lagate patthar

    phul ke bhes mein aatish ka sharara nikla

    'mehwar'-e-sabr pe ek sabr ki aayat paDh kar

    khinch kar jism se jaan jaan se pyara nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now