Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

misl-e-sahra hai rifaqat ka chaman bhi ab ke

Naseer Turabi

misl-e-sahra hai rifaqat ka chaman bhi ab ke

Naseer Turabi

MORE BYNaseer Turabi

    misl-e-sahrā hai rifāqat chaman bhī ab ke

    jal bujhā apne sho.aloñ meñ badan bhī ab ke

    ḳhār-o-ḳhas huuñ to sharar-ḳheziyāñ dekhūñ phir se

    aañkh le aa.ī hai ik aisī kiran bhī ab ke

    ham to vo phuul jo shāḳhoñ pe ye socheñ pahroñ

    kyuuñ sabā bhuul ga.ī apnā chalan bhī ab ke

    manziloñ tak nazar aatā hai shikastoñ ġhubār

    saath detī nahīñ aise meñ thakan bhī ab ke

    munsalik ek rishte meñ na ho jaa.e kahīñ

    tire māthe tire bistar shikan bhī ab ke

    be-gunāhī ke libāde ko utāro bhī 'nasīr'

    raas aa jaa.e agar jurm-e-suḳhan bhī ab ke

    misl-e-sahra hai rifaqat ka chaman bhi ab ke

    jal bujha apne hi shoalon mein badan bhi ab ke

    KHar-o-KHas hun to sharar-KHeziyan dekhun phir se

    aankh le aai hai ek aisi kiran bhi ab ke

    hum to wo phul jo shaKHon pe ye sochen pahron

    kyun saba bhul gai apna chalan bhi ab ke

    manzilon tak nazar aata hai shikaston ka ghubar

    sath deti nahin aise mein thakan bhi ab ke

    munsalik ek hi rishte mein na ho jae kahin

    tere mathe tere bistar ki shikan bhi ab ke

    be-gunahi ke libaade ko utaro bhi 'nasir'

    ras aa jae agar jurm-e-suKHan bhi ab ke

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 1075)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now