Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mismar hun ki KHud ko uThane laga tha main

Shahab Safdar

mismar hun ki KHud ko uThane laga tha main

Shahab Safdar

MORE BYShahab Safdar

    mismār huuñ ki ḳhud ko uThāne lagā thā maiñ

    miTTī se āsmān banāne lagā thā maiñ

    be-iḳhtiyār āñkhoñ se aañsū nikal paḌe

    tasvīr se ġhubār haTāne lagā thā maiñ

    āvāz de ke rok liyā us ne jis ghaḌī

    māyūs ho ke lauT ke jaane lagā thā maiñ

    bhaTkā zarā jo dhyān mire haath jal ga.e

    bosīda kāġhzāt jalāne lagā thā maiñ

    afsos ḳhvāb-e-marg ne mohlat na 'shahāb'

    soyā huā nasīb jagāne lagā thā maiñ

    mismar hun ki KHud ko uThane laga tha main

    miTTi se aasman banane laga tha main

    be-iKHtiyar aankhon se aansu nikal paDe

    taswir se ghubar haTane laga tha main

    aawaz de ke rok liya us ne jis ghaDi

    mayus ho ke lauT ke jaane laga tha main

    bhaTka zara jo dhyan mere hath jal gae

    bosida kaghzat jalane laga tha main

    afsos KHwab-e-marg ne mohlat na di 'shahab'

    soya hua nasib jagane laga tha main

    Source :
    • Book : Dunya Zaad (Pg. 117)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now