mison ke samne kya mazhabi bahana chale
misoñ ke sāmne kyā maz.habī bahāna chale
chaleñge ham bhī usī ruḳh jidhar zamāna chale
ḳhudā ke vāste saaqī yahī nigāh-e-karam
chalā hai daur to phir kyoñ ruke chalā na chale
khilā hai bāġh-e-qanā’at meñ ġhuncha-e-ḳhātir
ḳhudā bachā.e kahīñ hirs kī havā na chale
faroġh 'ishq kā be-āh ke nahīñ mumkin
na phaile bū-e-gulistāñ agar havā na chale
khule kivāḌ jo kamre ke phir kisī ko kyā
ye hukm bhī to huā hai ki rāsta na chale
umīd-e-hūr meñ muslim to ho gayā huuñ magar
ḳhudā hī hai ki jo mujh se ye panjgāna chale
ḳhudī kī his se bhī hotā hai intishār 'akbar'
kahāñ rahūñ ki mujhe bhī mirā pata na chale
mison ke samne kya mazhabi bahana chale
chalenge hum bhi usi ruKH jidhar zamana chale
KHuda ke waste saqi yahi nigah-e-karam
chala hai daur to phir kyon ruke chala na chale
khila hai bagh-e-qana’at mein ghuncha-e-KHatir
KHuda bachae kahin hirs ki hawa na chale
farogh 'ishq ka be-ah ke nahin mumkin
na phaile bu-e-gulistan agar hawa na chale
khule kiwaD jo kamre ke phir kisi ko kya
ye hukm bhi to hua hai ki rasta na chale
umid-e-hur mein muslim to ho gaya hun magar
KHuda hi hai ki jo mujh se ye panjgana chale
KHudi ki his se bhi hota hai intishaar 'akbar'
kahan rahun ki mujhe bhi mera pata na chale
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 63)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.